Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Aakhri rozay hain dil-e-ghamnak muztar-e-jaan hai

Aakhri rozay hain dil-e-ghamnak muztar-e-jaan hai

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Aakhri rozay hain dil-e-ghamnak muztar-e-jaan hai Hasrata wa hasrata ab chal diya Ramzan hai Ashiqan-e-mah-e-Ramzan ro rahe hain phoot kar Dil bada bechain hai afsurda rooh o jaan hai Dard o riqqat se pacharain kha ke rota hai koi To koi tasweer-e-gham ban kar khada hairan hai Al-firaq aah al-firaq ae Rab ke mehman al-firaq Al-wida ab chal diya to ae mah-e-Ramzan hai Dastan-e-gham sunayein kis ko ja kar aah! hum Ya Rasoolallah! dekho chal diya Ramzan hai Khoob rota hai tadapta hai gham-e-Ramzan mein Jo musalman qadr-dan o ashiq-e-Ramzan hai Rotay rotay hichkiyan bandh jati hain ushaq ki Tujh mein kaisa soz ae Allah ke mehman hai Teri furqat mein tere ashiq ka dil tukray hua Aur seena chaak tere hijr mein Ramzan hai Waqt-e-iftar o sahar ki ronaqein hon gi kahan! Chand din ke baad ye sara saman sunsan hai Teri aamad se dil-e-pazmurda khul uthay magar Jald tadpa kar hamein tu chal diya Ramzan hai Haaye sad afsos! Ramzan ki na hum ne qadr ki Be-sabab hi bakhsh de Ya Rabb ke Tu Rahman hai Mah-e-Ramzan tujh mein jo rozay nahin rakhta koi Woh bada mehroom hai badbakht hai nadan hai Kar rahe hain tujh ko ro ro kar musalman al-wida Aah! ab tu chand ghariyon ka faqat mehman hai Rok saktay hi nahin haaye tujhay ab kya karein! Sab ko rota chor kar tu chal diya Ramzan hai Assalam ae mah-e-Ramzan tujh pe hon lakhon salam Hijr mein ab tera har ashiq hua be-jaan hai Chand aansu nazr hain bas aur kuch pallay nahin Nekiyon se aah! ye khali mera daman hai Wasta Ramzan ka Ya Rabb! hamein tu bakhsh de Nekiyon ka apnay pallay kuch nahin saman hai Dust basta iltija hai hum se razi ho ke ja Bakhwana hashr mein haan tu meh-e-ghufran hai Kash! aatay saal ho Attar ko Ramzan naseeb Ya Nabi! meethay madinay mein bada arman hai