Aankhon ka tara naam-e-Muhammad
Dil ka ujala naam-e-Muhammad
Allahu Akbar Rabb-ul-Ula ne
Har shay pe likha naam-e-Muhammad
Hain yun to kasrat se naam lekin
Sab se hai pyara naam-e-Muhammad
Daulat jo chaho dono jahan ki
Karlo wazifa naam-e-Muhammad
Shaida na kyun hon is par musalman
Rab ko hai pyara naam-e-Muhammad
Allah wala dum mein banade
Allah wala naam-e-Muhammad
Sall-e-Ala ka sehra saja kar
Dulha banaya naam-e-Muhammad