Aariz-e-Shams-o-Qamar se bhi hain anwar Eiriyan
Arsh ki aankhon ke taare hain woh khushtar Eiriyan
Ja baja par-tu-fagan hain aasman par Eiriyan
Din ko hain khursheed shab ko maah-o-akhtar Eiriyan
Najm-e-gardoon to nazar aate hain chhote aur woh paaon
Arsh par phir kyun na hon mehsoos laaghar Eiriyan
Dab ke zer-e-pa na gunjaish samane ko rahi
Ban gaya jalwa kaf-e-pa ka ubhar kar Eiriyan
Un ka mangta paaon se thukra de woh duniya ka taaj
Jis ki khatir mar gaye Mun'im ragar kar Eiriyan
Do qamar, do panja-e-khur, do sitare, das hilaal
Un ke talwe, panje, naakhun, paaye athar Eiriyan
Haaye us pathar se us seena ki qismat phoriye
Be-takalluf jis ke dil mein yun karein ghar Eiriyan
Taaj-e-Rooh-ul-Quds ke moti jise sajda karein
Rakhti hain wallah woh pakeeza gohar Eiriyan
Ek thokar mein Uhad ka zalzala jaata raha
Rakhti hain kitna waqar Allah-u-Akbar Eiriyan
Charkh par charhte hi chandi mein siyahi aa gayi
Kar chuki hain badr ko taksaal baahar Eiriyan
Ae Raza toofan-e-mahshar ke talatum se na dar
Shaad ho! Hain kashti-e-ummat ko langar Eiriyan