Aaya hai bulawa phir ek baar Madine ka
Phir ja ke dekhun ga darbar Madine ka
Gulshan se haseen tar hai gehwar Madine ka
Be-misl jahan mein hai gulzar Madine ka
Main phool ko choomoon ga aur dhool ko choomoon ga
Jis waqt karoon ga main deedar Madine ka
Aankhon se lagaloon ga aur dil mein basaloon ga
Seene mein utaroon ga main khaar-e-Madine ka
Seene mein Madina ho aur dil mein Madina ho
Aankhon mein bhi ho naqsha Sarkar! Madine ka
Laati hai sar-e-baleen Rehmat ki ada un ko
Jis waqt tadapta hai beemar Madine ka