Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Ae Madine ke Tajdar tujhe Ahl-e-Imaan Salam kehte hain

Ae Madine ke Tajdar tujhe Ahl-e-Imaan Salam kehte hain

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Ae Madine ke tajdar tujhe Ahl-e-Imaan salam kehte hain Tere ushshaq tere deewane jaan-e-jaanan salam kehte hain Jo Madine se door rehte hain hijr-o-furqat ka ranj sehte hain Woh talabgar-e-deed ro ro kar ae meri jaan salam kehte hain Jin ko duniya ke gham satate hain thokarain dar-ba-dar ki khatay hain Gham naseebon ke chara-gar tum ko woh pareshan salam kehte hain Door duniya ke ranj-o-gham kar do aur seene mein apna gham bhar do Un ko pasheman-e-tar ata kar do jo bhi Sultan salam kehte hain Jo tere ishq mein tarapte hain hazri ke liye taraste hain Izn-e-Taiba ki aas mein Aaqa woh pur-armaan salam kehte hain Tere rozay ki jaaliyon ke paas Aaqa reham-o-karam ki le kar aas Kitne dukhiyare roz aa aa ke Shah-e-Zeeshan salam kehte hain Arzoo-e-haram hai seene mein ab to bulwaiye Madine mein Tujh se tujh hi ko mangte hain jo Musalman salam kehte hain Rukh se parday ko ab utha deeje apne qadmon se ab laga leeje Ah! jo nekiyon se hain yaksar khaali daman salam kehte hain Aap Attar kyun pareshan hain? Bad se badtar bhi zer-e-daman hain Un pe rehamat woh khaas karte hain Jo Musalman salam kehte hain