Ajmer bulaya mujhe Ajmer bulaya, Ajmer bula kar mujhe mehman banaya
Ho shukr ada kaise ke mujh papi ko Khwaja, Ajmer bula kar mujhe darbar dikhaya
Sultan-e-Madina ki mohabbat ka bhikari, ban kar mein shaha! aap ke darbar mein aaya
Duniya ki hukumat do na daulat do na sarwat, har cheez mili jaam-e-mohabbat jo pilaya
Qadmon se laga lo mujhe qadmon se laga lo, Khwaja hai zamane ne bada mujh ko sataya
Dooba abhi dooba mujhe lillah sambhalo, sailab-e-gunahon ka bade zor se aaya
Ho chashm-e-shifa ab to shaha! aisoye mareezan, isyan ke marz ne be bada zor dikhaya
Sarkar-e-Madina ka bana dijiye aashiq, yeh arz liye Shah-e-Karachi se mein aaya
Ya Khwaja karam kijiye hoon zulmatein kafoor, batil ne bade zor se sar apna uthaya
Attar karam hi se tere jam ke khada hai,
Dushman ne girane ko bada zor lagaya