Andheri raat hai gham ki ghata isyaan ki kaali hai
Dil-e-be-kas ka is aafat mein Aaqa tu hi wali hai
Na ho mayoos aati hai sada gor-e-ghariban se
Nabi ummat ka hami hai Khuda bandon ka wali hai
Utarte chand dhalti chandni jo ho sake kar le
Andhera pachh aata hai yeh do din ki ujali hai
Are yeh bhediyon ka ban hai aur shaam aa gayi sar par
Kahan soya musafir haaye kitna la-ubali hai
Andhera ghar, akeli jaan, dam ghutna, dil uktata
Khuda ko yaad kar pyaare woh sa'at aane wali hai
Zameen tapti, kateli raah, bhari bojh, ghayal paon
Musibat jhelne wale tera Allah wali hai
Na chunka din hai dhalne par teri manzil hui khoti
Are o jaane wale neend yeh kab ki nikali hai
Raza manzil to jaisi hai woh ik mein kya sabhi ko hai
Tum usko rote ho yeh to kaho yaan haath khali hai