Apne qadmon mein bula Khwaja Piya Khwaja Piya, aur jalwa bhi dikha Khwaja Piya Khwaja Piya
Ho karam bar-haal-e-ma Khwaja Piya Khwaja Piya, az paye Data Piya Khwaja Piya Khwaja Piya
Aah! kitni der se mein door hoon Ajmer se, jaane mein kab aaunga Khwaja Piya Khwaja Piya
Mustafa ki ambiya ki har sahabi aur wali ki, mohabbat ho ata Khwaja Piya Khwaja Piya
Ya Moin-ud-Din Ajmeri! karam ki bheek do, az paye Ghaus-o-Raza Khwaja Piya Khwaja Piya
Shabbar-o-Shabbir ka sadqa balayain door hon, ae mere mushkil kusha Khwaja Piya Khwaja Piya
Aafton ki aandhiyan kar door aye umn-e-wamaan
Bahr-e-khaak-e-Karbala Khawaja Piya Khawaja Piya
Dil se duniya ki mohabbat ki museebat door ho
Deed-e-ishq-e-Mustafa Khawaja Piya Khawaja Piya
Teri ulfat mein jeeyoon teri mohabbat mein maroon
Ho karam aisa shaha! Khawaja Piya Khawaja Piya
Jholiyan bharte ho mangton ki mujhe bhi ho ata
Hissa-e-jood-o-sakha Khawaja Piya Khawaja Piya
Naey mein sail-e-raaj ka naey takht ka naey taaj ka
Main faqad mangta tera Khawaja Piya Khawaja Piya
Yeh sag-e-darbar-e-Khawaja! talib-e-deedar hai
Chehra-e-anwar dikha Khawaja Piya Khawaja Piya
Dushmanon mein hoon ghar Siddiq ka sadqa bacha
Al-madad Khawaja Piya Khawaja Piya Khawaja Piya
Oont baithey uth na paaye sarban hairan thay
Yeh karamat wah wah! Khawaja Piya Khawaja Piya
Aa gaya sara Aanasagar teri chhagal mein khoob
Shan teri marhaba! Khawaja Piya Khawaja Piya
Apni manzil se kabhi bhi woh bhatak sakta nahi
Jis ke tum ho rehnuma Khawaja Piya Khawaja Piya
Istaqamat mazhab-e-Islam par le kaash!
Hath utha kar dua Khawaja Piya Khawaja Piya
Khatima bil-khair ho baithey Madine mein mera
Hath utha kar dua Khawaja Piya Khawaja Piya
Hajj ki mil jaye sa'adat sabz gunbad dekh loon
Hath utha kar dua Khawaja Piya Khawaja Piya
Kaash! qismat se Madine mein shahadat paoon main
Hath utha kar dua Khawaja Piya Khawaja Piya
Ho Baqi-e-Pak mein tadfeen meri khair se
Hath utha kar dua Khawaja Piya Khawaja Piya
Ek zarra ho ata Attar ke ho jaye ga
Khawaja! ghar bhar ka bhala Khawaja Piya Khawaja Piya