Teesre hajj par Madina Munawara se rukhsat ke waqt arz ki gayi
Alwada ai sabz gumbad ke makeen
Al-firaq ai Rahmatul-lil-aalameen
Alwada ai mazhar-e-zaat-e-Khuda
Al-firaq ai khalq ke mushkil kusha
Alwada ai shahar-e-pak-e-Mustafa
Al-firaq ai mahbat-e-wahi-e-Khuda
Ja raha hai ab hamara qafila
Ai dar-o-deewar-e-shahar-e-Mustafa
Yaad teri jis ghari bhi aayegi
Hai yaqeen dil ko bohat tarpayegi
Ae dilon ke chain ae pyare Nabi
Lo ghulamon ka salam-e-aakhiri
Door se aaye thay pardesi ghulam
arz karne ko ghulamana salam
Aastana se wida hote hain ab
Yeh toh farmao ke bulwao ge kab
Chashm-e-rehmat se na tum karna juda
Rakhna apne saye mein hum ko sada
Ae madina walo tum sab khush raho
Daman-e-mehboob mein phoolo phalo
Arz itni hai magar ae dosto
Yad hum ko bhi kabhi kar lijiyo
Aakhiri deedar hai ae zairo
Khoob ji bhar ke yeh gumbad dekh lo
Kya khabar hai khoob dil mein soch lo
Phir muqaddar mein ho aana ya na ho
Yeh koi dum mein chupa jata hai ab
Faasla koson hua jata hai ab
Phir kahan tum aur kahan yeh dosto
Deed-e-aakhir ko ghaneemat jaan lo
Hai dua Salik ki ae bari-e-Khuda
Zindagi mein phir madina de dikha