Aseeron ke mushkil kusha Ghouse Azam
Faqeeron ke haajat rawa Ghouse Azam
Ghara hai balaon mein banda tumhara
Madad ke liye aao Ya Ghouse Azam
Tere haath mein haath main ne diya hai
Tere haath hai laaj Ya Ghouse Azam
Muridon ko khatra nahin bahr-e-gham se
Ke beray ke hain nakhuda Ghouse Azam
Tumhein dukh suno apne aafat zadon ka
Tumhein dard ki do dawa Ghouse Azam
Bhanwar mein phansa hai hamara safeena
Bacha Ghouse Azam bacha Ghouse Azam
Jo dukh bhar raha hun jo gham seh raha hun
Kahoon kis se tere siwa Ghouse Azam
Zamanay ke dukh dard ki ranj-o-gham ki
Tere haath mein hai dawa Ghouse Azam
Agar saltanat ki hawas hai faqero
Kaho shay'an lillah Ya Ghouse Azam
Nikala hai pehle toh doobay huon ko
Aur ab doobton ko bacha Ghouse Azam
Jisay khalq kehti hai pyara Khuda ka
Usi ka hai toh ladla Ghouse Azam
Kya ghour jab gyarahween barahween mein
Muamma yeh hum par khula Ghouse Azam
Tumhein wasl-e-be-fasl hai Shah-e-Deen se
Diya Haq ne yeh martaba Ghouse Azam
Phansa hai tabahi mein berah hamara
Sahara laga do zara Ghouse Azam
Faqir-e-tu chashm-e-karam az tu daaro
Nigaahe bahaal-e-gada Ghous-e-Azam
Gadaaim magar az gadaayaan-e-shaahe
Ke goyandash ahl-e-safa Ghous-e-Azam
Kamar basta bar khoon-e-man nafs-e-qaatil
Agisni baraaye khuda Ghous-e-Azam
Udhar mein piya mori daulat hai naiya
Kahoon ka se apni bitha Ghous-e-Azam
Bait mein kati mori sagdi umra
Karo mo pe apni diya Ghous-e-Azam
Bhiyo jo baikunth Baghdad tu se
Kaho mori nagri bhi aa Ghous-e-Azam
Kahe kis se ja kar Hasan apne dil ki
Sune kaun tere siwa Ghous-e-Azam