Asmaan gar tere talwan ka nazara karta
Roz ik chand tasadduq mein utara karta
Tuaf-e-rauza hi pe chakraye thay kuch nawaqif
Main to aape mein na tha aur jo sajda karta
Sarsar-e-dasht-e-madina jo karam farmati
Kyun main ufturoogi-e-bakht ki parwa karta
Muchhup gaya chand na aayi tere deedar ki taab
Aur agar samne rehta bhi to sajda karta
Yeh wahi hain ke garo aap aur un par machlo
Ulti baton pe kaho na seedha karta
Ham se zarron ki to taqdeer hi chamka jata
Mehar-e-farma ke woh jis raah se nikla karta
Dhoom zarron mein Ana-ush-shams ki par jati hai
Jis taraf se hai guzar chand hamara karta
Aah kya khoob tha gar hazir-e-dar hota main
Un ke saya ke talay chain se soya karta
Shauq-o-adaab baham garam kashakash rehte
Ishq gum kardah to un aql se uljha karta
Aankh uthti to main jhanjhla ke palak si leta
Dil bigarta to main ghabra ke sambhala karta
Bekhudana kabhi sajda mein shue-e-dar girta
Janib qibla kabhi chaunk ke palta karta
Baam tak dil ko kabhi baal-e-kabootar deta
Khak par gir ke kabhi haye khudaya karta
Gaah marham nahi-e-zakhm-e-jigar mein rehta
Gaah nashtar zani-e-khoon-e-tamanna karta
Hamrah mehar kabhi gard-e-khateera phirta
Saya ke sath kabhi khak pe lota karta
Sohbat-e-dagh-e-jigar se kabhi ji behlata
Ulfat-e-dast-o-gareeban ka tamasha karta
Dil-e-hairan ko kabhi zauq-e-tapish par lata
Tapish-e-dil ko kabhi hosla farsa karta
Kabhi khud apne taghayyur pe hairan rehta
Kabhi khud apne samajhne ko na samjha karta
Kabhi kehta ke yeh kya bazm hai kaisi hai bahaar
Kabhi andaaz-e-shajail se main tauba karta
Kabhi kehta ke yeh kya josh-e-junoon hai zaalim
Kabhi phir gir ke tarapne ki tamanna karta
Suthri suthri woh fiza dekh ke main gharq-e-gunah
Apni aankhon mein khud us bazm mein khatka karta
Kabhi rehmat ke tasavvur mein hansi aa jaati
Paas-e-aadaab kabhi honton ko bakhya karta
Dil agar ranj-e-ma'asi se bigarne lagta
Afv ka zikr suna kar main sambhala karta
Yeh mazey khoobi-e-qismat se jo paaye hote
Sakht deewana tha gar khuld ki parwah karta
Maut us din ko jo phir naam-e-watan ka leta
Khaak us sar pe jo us dar se kinara karta
Ae Hasan qasd-e-Madina nahin rona hai yehi
Aur main aap se kis baat ka shikwa karta