Aye kaash ke aajaye Attar Madinay mein
(Alhamdulillah Azawajal 25 Shaban-ul-Muazzam 1414 AH ko yeh marooza pesh kiya gaya)
Aye kaash ke aajaye Attar Madinay mein
Bulwa lo Khudara! ab Sarkar Madinay mein
Kab tak mein phiroon dar dar marnay bhi do ab Sarwar!
Dahliz pe sar rakh kar Sarkar Madinay mein
Rozay ke qareeb aakar gir jaon mein ghash kha kar
Hojaye tumhara phir deedar Madinay mein
Roti hui aankhon se betab nigahon se
Ho Gumbad-e-Khizra ka deedar Madinay mein
Duniya ke ghamon ki tum lillah dawa de do
Bulwa ke gham-e-apna do Sarkar Madinay mein
Mil jaye shifa is ko darbar-e-Muhammad se
Aajaye jo koi bhi beemar Madinay mein
Ho 'Dawat-e-Islami' ki dhoom machi har su
Tarkeeb ho markaz ki Sarkar-e-Madine mein
Thehro ge shafa'at ke haqdar yaqeenan tum
Aajao gunahgaro! ik baar Madine mein
Ikhlas ata kardo aur khulq bhala kar do!
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Be-ja na hansi aaye sanjeeda bana deeje
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Allah ki ulfat do aur apni mohabbat do
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Betab jigar deedo aur aankh bhi tar deedo
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Isyaan ki dawa deedo Sarkar-e-Shifa deedo
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Is nafs-e-sitamgar ko qabu mein mere kardo!
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Duniya ki mohabbat se dil pak mera kar do
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Rona bhi sikha do aur sikhla do tarapna bhi
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Aankhon mein sama jao seene mein utar aao
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Jalwon se dil-e-veeraan abad karo jaana!
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Sag apna mujhe keh do qadmon mein mujhe rakh lo
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Qadmon se lagalo tum deewana banalo tum
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Qismat meri chamka do turbat meri banwa do
Bulwa ke Shehenshah-e-Abrar Madine mein
Ramzan ki baharein hon Taiba ki fazayein hon
Aur jhoomta phirta ho Attar Madine mein