Ba-khat-e-Noor us dar par likha hai
Yeh baab-e-rehmat-e-Rabb-e-Ula hai
Sar-e-kheera jo ab dar par jhuka hai
Ada hai umr bhar ki jo qaza hai
Muqabil dar ke yun Kaaba bana hai
Yeh qibla hai toh yeh qibla-numa hai
Dar-e-wala pe ek mela laga hai
Ajab us dar ke tukron mein maza hai
Yahan se kab koi khali phira hai
Sakhi data ki yeh daulat-sara hai
Gada toh hai gada jo badshah hai
Use bhi toh usi dar se mila hai
Jise jo kuch mila jis se mila hai
Haqeeqat mein woh us dar ki ata hai
Isi Sarkar ka mangta hai aalam
Gada us dar ka har Shah-o-Gada hai
Yahan se bheek paate hain salateen
Isi dar se unhein tukda mila hai
Isi dar se pale ga pal raha hai
Isi ghar se zamana pal chuka hai
Shab-e-Meraj se zahir hua hai
Rusul hain muqtadi toh muqtada hai
Khudai ko Khuda ne jo diya hai
Isi ghar se isi dar se mila hai
Khudaye pak toh ghar dar se hai pak
Magar ye dar ye pak-e-Khuda hai
Yahan woh ba-Khuda hai jalwa farma
Jo kashti ka jahan ki nakhuda hai
Shah-e-Arsh astan Allah Allah
Tasawwur se Khuda yaad aa raha hai
Ye woh Mehboob-e-Haq hai jis ki ru'yat
Yaqeen mano ke deedar-e-Khuda hai
Yadullah jis ka dast-e-pak thehra
Woh bai'at jis ki bai'at ba-Khuda hai
Rami jis ki rami thehri Khuda ki
Kitab-e-Allah mein Allah rami hai
Qasam Quran mein jis ki rah-guzar ki
Khuda ne yaad ki kya martaba hai
Wohi matloob jis ka har har andaz
Wohi mehboob jis ki har ada hai
Hawa se pak jis ki zaat-e-qudsi
Woh jis ki baat bhi wahy-e-Khuda hai
Nahin kehte hawa-e-nafs se kuch
Jo farmayen wohi wahy-e-Khuda hai
Chamak se jin ki roshan hain do aalam
Mehak se jis ki har bustan basa hai
Woh jalwa jis se Haq hai aashkara
Woh surat jo jamal-e-Haq numa hai
Woh yakta aayina zaat-e-Ahad ka
Woh mir'at-e-sifat-e-Kibriya hai
Woh pyara jis pe Rab hai aisa pyara
Ke us ke pyare par pyara Khuda hai
Woh jis ka shehar bhi hai aisa pyara
Jahan ki raat din se bhi sawa hai
Jahan hai be-thikano ka thikana
Jahan Shah-o-Gada sab ka thiya hai
Dawa dukh dard ki hai khaak jis ki
Ma'asi ka jahan dar-ul-shifa hai
Karam farmayiye aye sarwar-e-deen
Jahan mangton ki paiham yeh sada hai
Khazanay apne de ke tum ko haq ne
Na qasim hi ke maalik kar diya hai
Jisay jo chaho jitna chaho do tum
Tumhein mukhtar-e-kul farma diya hai
Do aalam bheek lete hain yahan se
Jo jis ke paas hai tera diya hai
Na mangain tum se hum to kis se mangain
Hein sab dar band bas yeh dar khula hai
Main dar dar kyun phirun dur dur sunun kyun
Meray sarwar mera kya sar phira hai
Ata farmate ho be-mangay sab kuch
Yeh mangta tum se tum ko mangta hai
Tumhara milna milna hai Khuda ka
Khuda mil jaye to phir kya raha hai
Ata farmayiye apne karam se
Meray Maula jo dil ka mud'a hai
Yehi sarkare faize aasar hai woh
Jahan se faiz ka dariya baha hai
Yehi se paate hain sab apne matlab
Har ik ke waaste yeh dar khula hai
Ba har lahza ba har sa'at ba har dam
Dare sarkar faize aasar wa hai
Nahin taqseem mein tafreeq kuch bhi
Ke dushman bhi yahin ka keh raha hai
Yeh woh dar hai woh bhi hazir hai
Jo us sarkare ka dushman chupa hai
Salam-e-rustai be-gharaz neest
Woh kya ta'azeem ko hazir hua hai
Aqeeday mein to us ke shirk hai yeh
Dikhaane ko taqiyya kar liya hai
Jala imaan se hoti hai dil par
Woh andha sheesha hai jo be-jala hai
Nahin sheesha nahin woh dil to jis par
Khuda ne khatm farma di tawa hai
Na thehray mutahar-e-haq ki boond jis par
Luhabi kya hai ik chikna ghara hai
Bohat bad firqay paida ho chukay hain
Sabhi ne ik naya mazhab garha hai
Jo mazhab-e-Ahle Sunnat ke ilawa
Bana hai woh jahannam ka garha hai
Jamaat par yad-e-rehmat hai haq ka
Juda firqa jahannam mein gira hai
Hai in mein ek firqa sab se badtar
Jise shirk az umoor-e-aamma hai
Nahi jis se koi majood khali
Koi bhi us ki zad se bach saka hai
Har ek us shirk se thehra jo mushrik
Jo hai ya hoga ya aage hua hai
Sahaba khud Nabi balkay khud Allah
Sabhi par hukm-e-shirk us ne jara hai
Jise bidat ki lat itni pari hai
Ke sunnat ko bhi bidat bolta hai
Maye bidat se hai sarshar aisa
Ke sab kuch us ko bidat soojhta hai
Thi itni tund maye jis ke nashay mein
Ke khud apne hi ko bhoola hua hai
Yeh khud hai bidati mushrik yaqeena
Magar Sunni ko bid'i jaanta hai
Hain us ke shirk-o-bidat ahle gehlay
Sarapa jin mein khud dooba hua hai
Yeh aisa us ka hukm-e-shirk-o-bidat
Usay sawan ke andhay ka hara hai
Hai Sunni aaina us ne jo dekha
Nazar apna hi chehra aa gaya hai
Usay Man Ibtada'a toh reh gaya yaad
Magar Man Sanna yeh bhoola hua hai
Khud apne fatwon se hai aap mushrik
Na bas mushrik hi yeh mushrik jana hai
Nahi hai baap hi mushrik ke jad bhi
Aur us ka jad jahan tak silsila hai
Khuli tunqisein mehbooban-e-haq ki
Yeh firqa bar-mula karta raha hai
Khuli toheen ki hai khud Khuda ki
Ke us ko kizb par qadir kaha hai
Na mumkin hi kaha balkay yahan tak
Barha hai yeh ke waqay keh gaya hai
Na bas ik kizb par hi us ne bas ki
Ke jahl-o-zulm-o-sarqa bhi kaha hai
Tumhein Haq ne diye hain woh fazail
Ke shirkat in mein hona na-rawa hai
Mumasil ho nahin sakta tumhara
Tumhein woh fazl-e-kul rab ne diya hai
Tumhari be-misali is se zahir
Ke mehboob-e-khuda tum ko kiya hai
Muhib kiya chahta hai misl-e-mehboob
Muhib to be-misali chahta hai
Magar yeh farq-e-mehboob-e-khuda ke
Karoron misl mumkin manta hai
Na mumkin hi ke chhoo misl waqay
Kaha karta kutub mein chhapta hai
Yunhi khatm-e-nubuwwat ka hai mani
Shafa'at se bhi munkir ho gaya hai
Musalmanon ke dar se lafz maane
Magar ma'ane ka mani barmala hai
Jo ma'ane un ke hain masoor ab tak
Sarihat se unhein rad kar raha hai
Kahan tak zulm mein is ke gina'oon
Kahan tak mein ganoon kiya kiya baka hai
Nafi jis ilm ki sarkar se ki
Usi ko nass se shetan kar diya hai
Muheet-e-arz ka shetan ko jab
Yeh nass se ilm sabit manta hai
Shareek-e-iblees ko karta hai haq ka
Ke shetan hi ko yeh haq janta hai
Woh kuch maane bahar surat woh khud hi
Bada mushrik behukum-e-khud bana hai
Majaneen-o-sabee haiwan baha'im
Yeh un sab ke liye bhi manta hai
Nabi ghair-e-nabi mein farq poocha
Batao un mein un mein farq kiya hai
Unhein jaisa bataya ilm-e-aqdas
Kaha hai ba'az mein takhsees kiya hai
Nafi-e-sheh se ba-wajah-e-shirk ki bhi
Magar phir bhi isi mein mubtala hai
Jo qismat mein likha tha kyon na hota
Kahein taqdeer ka likha mita hai
Karein lakhon jatan hota hai woh hi
Wohi hoga jo qismat mein bada hai
Khayal-e-khar mein istighraq se bad
Jo ta'zeem-e-nabi ko janta hai
Agar is ko koi itna kahega
Ke woh insaan nahin khasa gadha hai
Bikhar jayenge us par kaisa kaisa
Jinhein tehzeeb-e-nau ka idda hai
Bayan-e-aib-e-dushman naat hi hai
Ke quran mein bhi toh tabbatyada hai
Ziya-e-kaaba se roshan hain aankhein
Munawwar qalb kaisa ho gaya hai
Hamari haziri noorun ala noor
Ke baad-e-hajj hamein hazir kiya hai
Ziya-e-rauza ka aalam kahun kya
Ke woh toh noor-e-kaaba se siwa hai
Yahan mehboob-e-rab hai jalwa aara
Wahan bas ek tajalli ki ziya hai
Hai yeh toh wasl se sarsabz dil shad
Woh naar-e-hijr se dil sokhta hai
Mah-o-khor bheek paate hain yahan se
Ziya-e-rauza ka kehna hi kya hai
Fiza-e-taiba ke qurbaan jaun
Naseem-e-khuld si jis ki hawa hai
Khafeef-o-khush maza be-misl paani
Kahin duniya mein aisa kab piya hai
Zameen-e-paak woh jis ko khuda ne
Kitab-e-allah mein arzullah kaha hai
Hamein toh taiba hai jannat se badh kar
Jahan mehboob-e-haq jalwa numa hai
Qadam hum jaison ke is sarzameen par
Karam sarkar ka hai aur kya hai
Watan ki har suhani subah noori
Yahan ki shaam-e-ghurbat par fida hai