Baghdad kay musafir mera salam kehna
Ro ro kay murshidi say mera payam kehna
Ya Peer-e-Ghaus-e-Azam! qismat khulay gi kis dam?
Aaye ga kab yeh dar par tera ghulam kehna
Baghdad walay murshid dar par bula lay murshid
Dekhay teri gali kay yeh subah-o-sham kehna
Apni Raza ka murshid mujda sunaiye ab
Mat pherna isay be-neel-e-maram kehna
Chha jaye aisi masti mit jaye apni hasti
Kar do inayat aisa ulfat ka jaam kehna
Kehta tha Peer-o-Murshid haq say dua yeh karna
Dozakh haram ho aur jannat muqam kehna
Wa'azon ki teray Murshid hai dhoom char janib
Main bhi kabhi to sun loon baitha kalam kehna
Jalwa dikhana Murshid kalma padhana Murshid
Jis dam ho zindagi ka labrez jaam kehna
Uftad aa padi hai imdad ki ghadi hai
Faryad kar raha hai tera ghulam kehna
Sail nawazishon ka kehta tha sazishon ka
Murshid ho dushmanon ka qissa tamam kehna
Attar ko bula kar Murshid galay laga kar
Phir khoob muskura kar karna kalam kehna