Bahar-e-jaan fiza tum ho naseem-e-dastan tum ho
Bahar-e-bagh-e-rizwan tum se hai zeb-e-jinan tum ho
Habib-e-rab-e-rehman tum makeen-e-lamakan tum ho
Sar-e-har do jahan tum ho shah-e-shahan-shahan tum ho
Haqeeqat aap ki mastoor hai yun to nihan tum ho
Numayan zarre zarre se hain jalwe yun ayan tum ho
Haqeeqat se tumhari juz khuda aur kaun waqif hai
Kahe to kya kahe koi chuneen tum ho chunan tum ho
Khuda ki saltanat ka do jahan mein kaun dulha hai
Tum hi tum ho tum hi tum ho yahan tum ho wahan tum ho
Tumhara noor hi sari hai in sari baharon mein
Baharon mein nihan tum ho baharon se ayan tum ho
Zameen-o-aasman ki sab baharen aap ka sadqa
Bahar-e-be-khazan tum ho bahar-e-jawadan tum ho
Tumhare husn-e-o-rang-o-boo ki gul boote hikayat hain
Bahar-e-gulistan tum ho bahar-e-bostan tum ho
Tumhari tabish-e-rukh hi se roshan zarra zarra hai
Mah-o-khurshed-o-anjum-e-barq mein jalwa-kunan tum ho
Nazar-e-arif ko har alam mein aaya aap ka alam
Na hote tum to kya hota bahar har jahan tum ho
Tumhare jalwa-e-rangeen hi ki sari baharen hain
Baharon se ayan tum ho baharon mein nihan tum ho
Mujassam rahmat-e-haq ho ke apna gham na andesha
Magar hum se siya karon ki khatir yun rawan tum ho
Kaja hum khaak-e-uftada kaja tum ae shah-e-bala
Agar misl-e-zameen hum hain to misl-e-aasman tum ho
Yeh kya main ne kaha misl-e-sama tum ho ma'az Allah
Munazza misl se bartar zi har wahm-o-guman tum ho
Main bhoola aap ki rif'at se nisbat hi hamein kya hai
Woh kehne bhar ki nisbat thi kahan hum hain kahan tum ho
Che nisbat khaak ra ba alam-e-paakat ke ae maula
Gadaye be-nawa hum hain shah-e-arsh-e-astan tum ho
Main bekas hoon main be-bas hoon magar kis ka tumhara hoon
Tere daman mile lo panah-e-be-kasan tum ho
Haqeeqat mein na bekas hoon na be-bas hoon na na-taqat
Main sadqe jaoon mujh kamzor ke tab-o-tawan tum ho
Hamein umeed hai roz-e-qayamat un ki rahmat se
Ke farmayein idhar aao na mayoos-e-az jinan tum ho
Sitam karo khata karo siya karo jafa karo
Hamare daman-e-rahmat mein aa jao kahan tum ho
Sitam karo chale aao chale aao
Hamare ho hamare ho agarche az badaan tum ho
Tumhare hote saate durood dukh kis se kahoon pyare
Shafi-e-aasiyan tum ho wakeel-e-mujriman tum ho
Masih-e-pak ke qurbaan magar jaan-o-imaan
Hamare dard ke darman tabib-e-ins-o-jaan tum ho
Dikhaye laakh aankhein mehr-e-mahshar kuch nahi parwah
Khuda rakhe tumhein ho mere aman-o-amaan tum ho
Riyazat ke yehi din hain burhapay mein kahan himmat
Jo kuch karna ho ab karlo abhi Noori jawan tum ho
Faqat nisbat ka jaisa hoon haqeeqi Noori ho jaaun
Mujhe jo dekhe keh uthay Miyan Noori Miyan tum ho
Sana manzoor hai un ki nahi yeh mudda Noori
Sukhan-sanj-o-sukhanwar ho sukhan ke nukta-daan tum ho