Banda milne ko qareeb-e-Hazrat-e-Qadir gaya
Lamha-e-batin mein gaye jalwa-e-zahir gaya
Teri marzi pa gaya sooraj phira ulte qadam
Teri ungli uth gayi meh ka kaleja chir gaya
Barh chali teri ziya andher alam se ghata
Khul gaya gesu tera rehmat ka badal ghar gaya
Bandh gayi teri hawa sawan mein khaak urne lagi
Barh chali teri ziya aatish pe pani phir gaya
Teri rehmat se Safi-ullah ka beda paar tha
Tere sadqe se Naji-ullah ka bajra tar gaya
Teri aamad thi ke Baitullah mujre ko jhuka
Teri haibat thi ke har but thar thara kar gir gaya
Momin un ka kya hua Allah us ka ho gaya
Kafir un se kya phira Allah hi se phir gaya
Woh ke us dar ka hua khalq-e-Khuda us ki hui
Woh ke is dar se phira Allah us se phir gaya
Mujh ko deewana batate ho main woh hoshiyar hoon
Paon jab toof-e-haram mein thak gaye sar phir gaya
Rehmatul-lil-Aalameen aafat mein hoon kaisi karoon
Mere Maula main to is dil se bala mein ghar gaya
Main tere hathon ke sadqe kaisi kankariyan thin woh
Jin se itne kafiron ka daf'atan munh phir gaya
Kyun janab-e-Abu Hurairah tha woh kaisa jaam-e-sheer
Jis se satar sahibon ka doodh se munh phir gaya
Wasta pyare ka aisa ho ke jo Sunni mare
Yun na farmayen tere shahid ke woh fajir gaya
Arsh par dhoomein machin woh Momin-e-Saleh mila
Farsh se maatam uthe woh Tayyib-o-Tahir gaya
Allah Allah ye ulu-e-khas-e-abdiyat-e-Raza
Banda milne ko qareeb-e-Hazrat-e-Qadir gaya
Thokarein khate phiro ge un ke dar par par raho
Qafila to ay Raza awwal gaya aakhir gaya