Bulalo phir mujhe ae Shah-e-Bahro Bar Madine mein
Main phir rota hua aaun tere dar par Madine mein
Main pohanchun koye jana mein gareeban chaak seena chaak
Gira de kaash mujh ko shauq tarpa kar Madine mein
Madine jaane walo jao jao fi Amanillah
Kabhi to apna bhi lag jaye ga bistar Madine mein
Salam-e-shauq kehna hajio! mera bhi ro ro kar
Tumhein aaye nazar jab Roza-e-Anwar Madine mein
Payam-e-shauq lete jao mera qafile walo
Sunana dastan-e-gham meri ro kar Madine mein
Mera gham bhi to dekho main para hoon door Taiba se
Sukoon paye ga bas mera dil-e-muztar Madine mein