Chashm-e-nam de gham-e-Sultan-e-Umam de Maula!
Un ka kab aashiq-e-sadiq main banoon ga ya Rab!
De de marne ki Madine mein sa'adat de de
Kis tarah Sindh ke jungle mein maroon ga ya Rab!
Mujh gunahgar pe gar khas karam ho jaye
Jaam-e-Taiba mein shahadat ka piyoon ga ya Rab!
Hajj ka har saal sharaf de de to Makkay aa kar
Jhoom kar Ka'bay ke chaugird phiroon ga ya Rab!
Kaash! har saal Madine ki baharein dekhoon
Sabz gumbad ka bhi deedar karoon ga ya Rab!
Izn se tere sar-e-hashr kahein kaash! Huzoor
Saath Attar ko jannat mein rakhoon ga ya Rab!