Chodwi ka chand hai ruye habib
Aur hilal-e-eid abru-e-habib
Jaan ko qurban karun misl-e-chakore
Khwab mein dekhun agar ruye habib
Arz karna be-kali meri saba
Ho guzar tera agar su-e-habib
Zahid hai fikr-e-tum ko khuld ki
Hum ko pohanchaye khuda ku-e-habib
Jo fana hain ishq-e-maula mein unhein
Aati hai taiba se khushbu-e-habib
Woh madine se uthi kali ghata
Woh khule pur-noor gisu-e-habib
Baar baar aate the Jibraeel-e-Ameen
Is qadar marghub tha go-e-habib