Dar par jo tere aagaya Baghdad wale Murshid
Man ki muradein paagaya Baghdad wale Murshid
Lene shifa-e-kamila darbar mein aye kamil
Bimar-e-isyan aagaya Baghdad wale Murshid
Jo koi tere bakht-e-yahan hogaya hai hazir
Roshan naseeba pa gaya Baghdad wale Murshid
Qadmon mein tere dunya ke jhanjhat se bas nikal kar
Jo aagaya so paagaya Baghdad wale Murshid
Jab bhi tarap ke keh diya ya Ghous-ul-Madad tab
Imdad ko tu aagaya Baghdad wale Murshid
Jis ne lagaya zor se ya Ghous ka hai nara
Woh dushmanon pe chha gaya Baghdad wale Murshid
Bedar bakht woh hai haqiqat mein jis ko jalwa
Tu khwab mein dikha gaya Baghdad wale Murshid
Imaan us ka bach gaya shaitan se, jo tere
Hai silsile mein aagaya Baghdad wale Murshid
Kyun naz'a o qabr o hashr ka dar ab mureedon ko ho
Tu La takhaf suna gaya Baghdad wale Murshid
Deedar bhi karade mujhe kalma bhi parha de
Ab waqt-e-rehlat aagaya Baghdad wale Murshid
Attar aake kash! Yeh darbar mein kahe phir
Baghdad mein phir aagaya Baghdad wale Murshid