Marhaba Saqib ke sar par kiya dastar hai
Hai karam Allah ka aur rahmat-e-Sarkar hai
Tahniyat-e-dastar bandi ki karo bhai qabul
Pesh karta hoon tumhein main tuhfatan kuch madani phool
Garche dastar-e-fazeelat ko hai tum ne pa liya
Bargah-e-Haq mein bhai! kya khabar hai haal kya
Ilm jo paya hai tum ne umr bhar baqi rakho!
Tum padhate bhi raho ta bhool jane se bacho
Jo bhula de ilm kyon kar woh bhala aalim raha
Go sanad hai paas lekin naam ka aalim raha
Ala Hazrat ke na maslak ko kabhi bhi chhodna
Un ke a'da se na hargiz koi rishta jodna
Salb-e-iman pursish-e-qabr-o-qayamat se daro
Ilm ko kafi na samjho nekiyan karte raho
Ilm-e-deen se ho faqat maqsood Maula ki raza
Door rehna bhai nazranon ke lalach se sada
Sunni aalim ki sada tajheel se bachte raho
Be-sabab taghleet aur tanqeed bhi tum mat karo
Dekhna mat tum haqarat se kisi un-padh ko bhi
Kya khabar pesh-e-Khuda maqbool banda ho wuhi
Ilm par aane lage tujh ko takabbur bhai gar
Dars-e-hasil bad-naseeb Ibn-e-Siqah jaison se kar
Qahqahe aur yawa-goi mein tera nuqsan hai
Be-zarurat bolne wala bada nadan hai
Bhagte hain sun le bad-akhlaq insaan se sabhi
Muskura kar sab se milna dil se karna aajizi
Bhaiyo! har dam bacho tum hubb-e-jah-o-maal se
Har ghadi chaukas raho Shaitan ki is chaal se
Maaldaron ki khushamad mein halakat hai badi
Tu gunahon mein pade ga aayegi shamat teri
Kaan dhar ke sun! na banna tu harees-e-maal-o-zar!
Kar qana'at ikhtiyar ae bhai thode rizq par
Dil mein ye khwahish na rakhna sab karein mera adab
Dar kahin naraz ho jaye na tujh se tera Rabb
Qalb mein khauf-e-Khuda rakh kar tu sare kaam kar
Kamyabi hogi teri Insha Allah har dagar
Dil ko ishq-e-Mustafa se bhai tu abad kar
Tujh pe hogi Sarwar-e-Konain ki meethi nazar
Khoob khidmat sunnaton ki raat din karte raho
Tum risala Madani Inamat ka bharte raho
Jaiye neki ki dawat dijiye ja ja ke ghar
Kijiye har mah Madani qafilon mein bhi safar
Tu kamar basta reh kar khidmat-e-Islam par
Rah-e-Maula mein jo aafat aaye is pe sabr kar
Maliki ho Hambali ho Hanafi ho ya Shaf'i
Mat ta'assub rakhna aur karna na un se dushmani
Sare Sunni aalimon se tu bana kar rakh sada
Kar adab har ek ka, hona na tu un se juda
Mujh ko ae Attar Sunni aalimon se pyar hai
Insha Allah do-jahan mein mera beda paar hai