Dilon ko yehi zindagi bakhshta hai
Tera dard-e-ulfat hi dil ki dawa hai
Gulistan-e-dunya ka kya zikr Aaqa
Ke tooti tera sidra par bolta hai
Mareez-e-ma'asi ko le chal Madina
Madina hi isiyan ka dar-ul-shifa hai
Jo wasil hai tum tak to wasil hai haq tak
Jo tum se phira hai woh haq se phira hai
Namaz aur rozay zakat aur hajj sab
Hain maqbool sab jab tumhari wala hai
Amal sab akaarat tumhare adu ke
Ke irshad-e-Rabbi ja'alna haba'an hai
Mohabbat tumhari mohabbat Khuda ki
Adawat tumhari Khuda se dua hai
Woh kaisi hi jhele mushaqqat ada mein
Ada kuch nahi hai woh sab kuch qaza hai
Mohabbat tumhari hai imaan ki jaan
Agar yeh nahi hai to imaan hawa hai
Kare laakh da'waye imaan dushman
Munafiq ka da'waye imaan dagha hai
Khuda par bhi imaan usi ko hai hasil
Jise jaan-e-imaan tujh se wala hai
Khuda ke yahan hai sar-afraz itna
Tari bargah mein jo jitna jhuka hai
Aghisna habeebal ilahi aghisna
Tabahi mein beda hamara phansa hai
Yeh sach hai bad-amaliyon hi ne apni
Hamein roz-e-bad yeh dikhaya shaha hai
Bahut naam lewa hue qatl-o-gharat
Khabar kya nahi tum se kya kuch chhupa hai
Tasawwur mein bhi jo na the woh mazalim
Hue aur abhi tak wahi silsila hai
Na dekha tha jo chashm-e-gardoon ne ab tak
Tere bandon ne woh sitam ab saha hai
Chhine maal-o-daulat hue qatl-o-gharat
Hazaron ka namoos loota gaya hai
Lakho kha gaye thande saffakiyon se
Magar zalim ab tak bhi garma raha hai
Jo haq chahta hai yeh woh chahte hain
Jo yeh chahte hain woh haq chahta hai
Magar Maula ab to saza pa chuke hum
Karam kijiye ab yahi iltija hai
Nekokar bande hi kya hain tumhare
Yeh badkar bhi Aap hi ka shaha hai
Na kijiye nazar is ki badkariyon par
Karam kijiye jo shiar Aap ka hai
Jo pehle the Aqa ghulam aaj thehre
Ghulam apne Aqa ka Aqa bana hai
Wa ma yantiqu anil hawa se hai roshan
Zaban-e-muqaddas pe haq bolta hai
Inhin ki rasai hai zaat-e-Khuda tak
Siwa un ke koi bhi us tak rasa hai
Do-aalam ko kar doon main us sar pe sadqe
Nisar-e-Madina jo sar ho chuka hai
Agarcha hai Makka ki azmat musallam
Magar mera dil Taiba hi par fida hai
Hai meraj-e-qismat huzoori yahan ki
Hamein Aap ka roza-e-Arsh-e-ala hai
Nekokar hai Aap ka bad hai kis ka
Woh bhi Aap ka hai jo bad hai bura hai
Kahan tak sahein hum mukhalif ke taane
Khabar lijiye waqt-e-sabr-aazma hai
Muqaddar ke tum ho muqaddar tumhara
Jo marzi tumhari woh qadr-o-qaza hai
Khuda ki jo marzi woh marzi tumhari
Jo marzi tumhari Khuda ki raza hai
Hai Allah ke haath mein haath us ka
Tere haath mein haath jis ne diya hai
Ana Qasim se hai roshan jahan mein
Jisay jo mila woh tumhara diya hai
Habib-e-Khuda hai yahan jalwa farma
Yeh gunbad nahi burj-e-Arsh-e-Khuda hai
Bataqdeer-e-Qadir muqaddar woh paya
Ke marzi hi goya qadr aur qaza hai
Yahan bheek lene na kyun aaye dunya
Shehenshah-e-Aalam ki daulat tera hai
Khuda hi ki qadr us ne hargiz na jani
Tere rutbe mein jis ko chun-o-chira hai
Na ehl-e-nazar ka banay sajda-gah kyun
Jahan naqsh-e-paye Habib-e-Khuda hai
Usi dar ka mohtaj hai sara aalam
Usi dar se palta palay ga pala hai
Yeh kon-o-makan yeh zameen-o-zaman sab
Banay teri khatir to wajh-e-bana hai
Banaya tujhe aisa Khaliq ne tere
Ke Zaat-e-Khuda ka tu hi aaina hai
Banaya tumhein apna mazhar Khuda ne
Jahanon ko mazhar tumhara kiya hai
Yeh chahat hai mehboob teri Khuda ko
Jo tu chahe woh bhi wahi chahta hai
Kuch aisa sanwara hai tujh ko Khuda ne
Ke tu hi khudai ka dulha bana hai
Tumhare hi dam ki hain sari baharein
Tumhare hi dam se yeh nashonuma hai
Tumhara hi rang aur tumhari hi boo to
Hai in phoolon mein warna phir aur kya hai
Chaman hona sairab-o-shadab hona
Yeh phal phool lagna tumhari ata hai
Usi dam se abad saray jahan hain
Usi dam se sara wujood-o-bana hai
Hai zer-e-nageen tere mulk-e-Ilahi
Tu hi shah-e-walaye qasr-e-duni hai
Tu woh tajwar hai ke taj-e-Rafa'na
Tere farq-e-aqdas pe Haq ne dhara hai
Mah-o-khor chamakte hi na yun
Yeh teri chamak hai yeh teri ziya hai
Sitaron ki aankhon mein hai noor kis ka
Tumhari chamak hai tumhari ziya hai