Diwan-e-Salik

Written by Mufti Ahmad Yar Khan Naeemi

100%
Tum bahar-e-bagh-e-alam tum naveed-e-ibn-e-Maryam Tum pe qurbaan sara aalam aulad-e-Adam Tum banao dusra ho Ka'ba wale ki dua ho Tum hi sab ke mudda'a ho na kyun tum par fida ho Aap hain wahdat ke mazhar aap hain kasrat ke masdar Awal aap aakhir qibla-e-dil aap ka dar Aap ke ho kar jiyen hum naam-e-nami pe maren hum Jab qayamat mein uthen hum arz is tarah karen hum Arz hai Salik ki Aaqa jaan gayi ka ho yeh naqsha Samne ho paak roza aur labon par yeh kalma Qasim-e-Naimat aaye Maalik-e-Jannat aaye Waali-e-Ummat aaye Rab ki rehmat aaye La ilaha illallah, La ilaha illallah La ilaha illallah, amanna bi rasoolillah Jin ki Khalil (A.S) dua maangein Jin ki Maseeh (A.S) bisharat dein Jin ki gawahi pathar dein Jin se sab dukh dard kahein La ilaha illallah, La ilaha illallah La ilaha illallah, amanna bi rasoolillah Aaj to rashk-e-khuld bana Hujra-e-Amina bibi ka Kaaba bhi sajde ko jhuka Hami-e-Kaaba aa pahuncha La ilaha illallah, La ilaha illallah La ilaha illallah, amanna bi rasoolillah Amina bi ko mubarak ho Aur Haleema dai ko Ham ko mubarak aur tum ko Shah ki saari ummat ko La ilaha illallah, La ilaha illallah La ilaha illallah, amanna bi rasoolillah Munkir aur Nakeer jab aaein Man Rabbuka ka charcha laaein Chehra-e-Anwar jab dikhlaaein Hum is tarah unko sunaaein La ilaha illallah La ilaha illallah La ilaha illallah amanna bi rasulillah Salik-e-khasta ki aaqa puri ho har ek dua jo is mehfil mein aaya ho us par bhi fazl-e-tera La ilaha illallah La ilaha illallah La ilaha illallah amanna bi rasulillah