Do jahan mein koi tum sa doosra nahin
Dhoondte phirte hain mehr-o-mah pata milta nahin
Hai rag-e-gardan se aqrab nafs ke andar hai woh
Yoon galay se mil ke bhi hai woh juda milta nahin
Aab-e-bahr-e-ishq-e-janan seena mein hai maujzan
Kaun kehta hai hamen aab-e-baqa milta nahin
Aab-e-tegh-e-ishq pee kar zinda-e-javed ho
Gham na kar jo chashma-e-aab-e-baqa milta nahin
Doob to bahr-e-fana mein phir paye ga to
Qabl az bahr-e-fana baqa milta nahin
Duniya hai aur apna matlab be-gharz matlab koi
Ashna milta nahin na-ashna milta nahin
Zarra zarra khaak ka hai jis ke noor se
Be-baseerat hai jisay woh mah-liqa milta nahin
Zarra zarra se ayan hai aisa zahir ho ke bhi
Qatre qatre mein nihan hai bar-mala milta nahin
Jo Khuda deta hai usi Sarkar se
Kuch kisi ko Haq se us dar ke siwa milta nahin
Kya ilaaqa dushman-e-Mehboob ko Allah se
Be-raza-e-Mustafa hargiz Khuda milta nahin
Koi mange ya na mange milne ka dar hai yehi
Be-ata-e-Mustafa mudda'a milta nahin
Rehnumaon ki si soorat rah mari kaam hai
Rahzan hain goy-go aur rehnuma milta nahin
Ahle gehley hain mashaikh aaj kal har har gali
Be-hama-o-ba-hama mard-e-Khuda milta nahin
Hain safa-e-zahiri ke saaz-o-samaan khoob khoob
Jis ka batin saaf ho woh ba-safa milta nahin
Bar zaban tasbeeh-o-dar dil gao-khar ka daur hai
Aise milte hain bohat is se wara milta nahin
Bas yehi Sarkar hai is se hamesha payenge
Dene wale dete hain kuch din sada milta nahin
Door sahil mauj-e-hail paar beeda kijiye
Nao hai manjdhaar mein aur nakhuda milta nahin
Wasl-e-Maula chahte ho to waseela dhoond lo
Be-waseela Najdio hargiz Khuda milta nahin
Daman-e-Mehboob chhore mange khud Allah se
Aise murak ko Khuda se mudda'a milta nahin
Zarra zarra qatra qatra se ayan phir bhi nihan
Ho ke sheh-rag se qareen tar hai juda milta nahin
Taair-e-jaan ki tarah dil ur ke ja betha kahan
Mere pehlu mein abhi tha kya hua milta nahin
Dehr ye uljha hua hai dehr ke phandon mein yun
Sara uljha samne hai aur sira milta nahin
Ilm-e-Sane hota hai masnoo se lekin use
Dekh kar masnoo Sane ka pata milta nahin
Naimat-e-konain dete hain do aalam ko yehi
Mang dekho un se tum dekho to kya milta nahin
Sab se phir aaye hain ab Shah-e-Wala ke huzoor
Juz tumhare Shafe-e-roz-e-jaza milta nahin
Dardmandi ke liye Adam se ta Isa gaye
De jo apne dard ki hukmi dawa milta nahin
Jin se umeed-e-karam thi de diya sab ne jawab
Aaj ke kaam aane wala hashar-wa milta nahin
Yas ka aalam hai sab se aas tore aaye hain
Zaat-e-Wala ke siwa aur aasra milta nahin
Jal rahe hain phunk rahe hain aashiqan-e-sookhta
Dhoop hai aur saya-e-zulf-e-rasa milta nahin
Woh hain khursheed-e-risalat noor ka saya kahan
Is sabab se saya-e-khair-ul-wara milta nahin
Dushman-e-jaan se kahin badtar hai dushman-e-deen ka
Un ke dushman se kabhi un ka gada milta nahin
Qasim-e-Naimat se hum maangein toh Najdi yun kahein
Kyun Nabi se maangiye Allah se kya milta nahin
Mustafa Ma Jaa-a Illa Rahmatal-lil-Alameen
Chara saaz-e-do sara tere siwa milta nahin
Khud Khuda be-wasta de yeh hamara munh kahan
Wasta Sarkar hain be-wasta milta nahin
Hum toh hum woh Ambiya ke bhi liye hain wasta
Unko bhi jo milta hai be-wasta milta nahin
Ambiya baaz Auliya faaiz hain us Sarkar mein
Har wali ko rasta be-wasta milta nahin
Donon aalam paate hain sadqa isi Sarkar ka
Khud Khuda se paaye jo unke siwa milta nahin
Zan zameen o zor aur zar ke hain gaahak har kahin
Dil se jo ho talib-e-zikr-e-Khuda milta nahin
Chaar za ek daal ke badle mein lein chaukas rahe
Yeh na samjhe yeh ikayi sekra milta nahin
Daad-e-duniya kaisa uff sunte nahin faryaad bhi
Sunne wala dard ka koi shaha milta nahin
Baap maa bhai behen farzand o zan ek ek juda
Gam-zada har ek hai aur gam-zada milta nahin
Jo mohabbat ki cheez hai mehboob ke qabze ki hai
Hath mein ho jiske sab kuch usse kya milta nahin
Dil sitani karne wale hain hazaron dilruba
Dil nawazi karne wala dilruba milta nahin
Dil gaya achha hua uska nahin gam gam hai yeh
Le gaya pehlu se jo woh dilruba milta nahin
Muhi-e-Sunnat hami-e-Millat woh Mujaddid deen ka
Paikar-e-Rushd o Huda Ahmad Raza milta nahin
Be-nawa ko be-sada milta hai us Sarkar se
Doodh bhi bete ko maa se be-sada milta nahin
Kis tarah ho hazir-e-dar Noori be-par shaha
Naake roke dushmanon ne rasta milta nahin