Fazl-e-Maula ke mehroom Hafiz-e-Quran bana
Ahl-e-khana ki shafa'at ke liye saman bana
Hafiz-e-Quran hua ab Aamil-e-Quran bana
Deen pe chalna Ya-Khuda! Iske liye asaan bana
Sunnaton par istiqamat de paye Ahmed-e-Raza
Ya Ilahi! Isko pukhta sahib-e-imaan bana
Ya Ilahi! Iske dil mein apni ulfat daal de
Apna mastana bana deewana-e-janan bana
Murshid-o-Ustad ka Ya-Rab isko mutee
Aur ise maa baap ka bhi tabe farman bana
Is ko rozana tilawat ki bhi tofeeq de
Qari-e-Quran bana aur Khadim-e-Quran bana
Is ko Maula tu gunahon se bachana har ghadi
Is ko ba-akhlaq ba-kirdar nek insaan bana
Ba-jamaat ye ada karta rahe har ik namaz
Sunnaton ka ho muballigh qabr bar shaitan bana
Ya Ilahi! Sunnaton ki khoob ye khidmat kare
Waste neki ki dawat is ke tu asaan bana
De sharaf is ko Khudaye Pak hajj ka baar baar
Baar baar is ko Madine ka bhi tu mehman bana
Ya Ilahi! Is ko fashion ki nahoosat se bacha
Is ko paikar sunnaton ka az paye Hassan bana
Tujh se hai Attar ki aye Madani munne! iltija
Kar ke Quran par amal jannat ka tu saman bana