Ghataen gham ki chhaen dil parishan ya RasoolAllah
Tumhein ho mujh dukhi ke dukh ka darman ya RasoolAllah
Nigah-e-lutf-o-rehmat ke hain khwahan ya RasoolAllah
Hamari mushkilen ho jaayen aasaan ya RasoolAllah
Bajuz to neest moonis neest humdam rehmat-e-aalam
Nazar kun janib-e-ma bad naseeban ya RasoolAllah
Safeene ke parkhache ud chuke hain zor-e-toofan se
Sambhalo! Mein bhi dooba ae meri jaan ya RasoolAllah
Naseem-e-Taiba se keh do Muztar ko jhonka de
Ghamon ki shaam ho subh-e-baharan ya RasoolAllah
Manazir be-wafa duniya ke hon sab door nazron se
Tasawwur mein rahen Taiba ki galiyan ya RasoolAllah
Na mujh ko aazma duniya ka maal-o-zar ata kar ke
Ata kar apna gham aur chashm-e-giryan ya RasoolAllah