Home/Imam Ahmad Raza Khan Qadri/Gunahgaron ko haatif se naveed-e-khush amaali hai

Gunahgaron ko haatif se naveed-e-khush amaali hai

Written by Imam Ahmad Raza Khan Qadri

100%
Gunahgaron ko haatif se naveed-e-khush amaali hai Mubarak ho shafa'at ke liye Ahmad sa wali hai Qaza haq hai magar is shauq ka Allah wali hai Jo un ki raah mein jaaye woh jaan Allah wali hai Tera qad-e-mubarak gulban-e-rehmat ki daali hai Use bo kar tere Rab ne panah-e-rehmat ki daali hai Tumhari sharm se shaan-e-jalal-e-haq tapakti hai Kham-e-gardan hilal-e-aasman Zuljalali hai Zahe khud gum hone pe yeh dhoonde ke kya paya Are jab tak ke paana hai jahi tak haath khali hai Main ik muhtaj-e-be-waqat gada tere sag-e-dar ka Teri sarkar wala hai tera darbar aali hai Teri bakhshish pasandi, uzr joi, tauba khwahi se Umoom-e-begunahi, jurm-e-shaan-e-la-ubali hai Abu Bakr o Umar Usman o Haider jis ke bulbul hain Jaza sarv-e-sahi us gul-bun-e-khubi ki daali hai Raza qismat hi khul jaye jo Gilan se khitab aaye Ke tu adna sag-e-dargah-e-khuddam-e-maali hai Main jab mar jaun...... Hazrat Thabit Banani Radi Allahu Ta'ala Anhu kehte hain ke mujh se Hazrat Anas bin Malik Sahabi Radi Allahu Ta'ala Anhu ne yeh farmaish ki ke yeh Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka muqaddas baal hai main jab mar jaun to tum is ko meri zaban ke neeche rakh dena, chunanche main ne un ki wasiyat ke mutabiq un ki zaban ke neeche rakh diya aur woh usi halat mein dafan hue. (Al-Isaba, Anas bin Malik bin An-Nadr, J1, S 276)