Guzray jis raah se woh Sayyid-e-wala ho kar
Reh gayi saari zameen ambar saara ho kar
Rukh-e-anwar ki tajalli jo qamar ne dekhi
Reh gaya bosa-deh-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho kar
Waa-e-mehroomi-e-qismat ke main phir ab ki baras
Reh gaya hamrah-e-zuwwar-e-madina ho kar
Chaman-e-Taiba hai woh baagh ke murgh-e-sidra
Barson chehke hain jahan bulbul-e-shaida ho kar
Sarsar-e-dasht-e-madina ka magar aaya khayal
Rashk-e-gulshan jo bana ghuncha-e-dil waa ho kar
Gosh-e-Shah kehte hain faryaad rasi ko hum hain
Waada-e-chashm hai bakhshayenge goya ho kar
Paaye Shah par giray ya Rab tapish-e-mehar se jab
Dil-e-betab uday hashr mein paara ho kar
Hai yeh umeed-e-Raza ko teri rehmat se shaha
Na ho zindani-e-dozakh tera banda ho kar