Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Haji ke liye duaon aur nasihaton ka guldasta

Haji ke liye duaon aur nasihaton ka guldasta

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Hajj ka paaye ga sharaf mera Bilal umeed hai Gunbad-e-Khizra ki deed is ki bila shak eid hai Marhaba! tum ko mubarak ho Madine ka safar Fazl-e-Rab se tum pe nazil rehmatein hoon har dagar Ya Khuda! aasaan ho is keliye Hajj ka safar Zauq barhta hi rahe is ka Khudaye bahr-o-bar Ronay wali aankh de aur chaak seena kar ata Yarab! is ko ulfat-e-Shah-e-Madina kar ata Zarray zarray ka adab Allah is ko ho naseeb Saiyidi Ahmad Raza ka wasta Rab-e-Mujeeb! Imtihan darpesh ho rah-e-Madina mein agar Sabr kar tu sabr kar haan sabr kar bas sabr kar Koi dhutkare ya jhaare balkay mare sabr kar Mat jhagad, mat burbura, pa ajr-e-Rab se sabr kar Rah-e-janan ka har ik kanta bhi goya phool hai Jo koi shikwa kare uski yaqeenan bhool hai Tum zaban ka aankh ka du-qufl-e-Madina lo laga Warna barh sakta hai isyan ka wahan bhi silsila Guftagu sadir na kuch bekar ho ehram mein Lab pe bas Labbaik ki takrar ho ehram mein Jab kare tu khana-e-Kaaba ka ro ro kar tawaf Yeh dua karna Khuda mere gunah kar de muaf Pyare haji! jab ho tera dakhla Arafat mein Karna nadim ho ke tu aah o buka Arafat mein Halat-e-ehram mein yaad-e-kafan ho qabr ho Yad kar Arafat mein tu Hashr ke maidan ko No ko jab Arafat mein haji ikhate hon sabhi Bhool mat jana duao mein mujhe tu us ghari Jis ghari karne lage qurban Mina mein janwar Tu tasawwur hi mein apne nafs ko bhi zibah kar Hazri ho jab Madine mein tumhari haji-o! Ishq-e-Shah mein khoob karna aah o zari haji-o! Ae Madine ke musafir dar pe le ke mera naam Dasht-e-basta arz karna un se ro ro kar salam Roke karna mere iman ki hifazat ki dua De shahadat ka sharaf mujh ko Madine mein Khuda Is ka hajj ya Rabb! Nabi ka wasta kar le qabool Do-jahan mein is pe barsaya Khuda rehmat ke phool Apne munh se khud ko haji tum kehna nahi Be-zarurat apni neki ka bayan achha nahi Har baras hajj ka sharaf pao Madine jao tum Aur Baqi-e-Pak mein aakhir mein madfan pao tum Karna tum Attar ke haq mein dua-e-maghfirat Is jahan mein aafiyat ho us jahan mein aafiyat Jhoot ki tareef Khilaf-e-waqia baat karna jan boojh kar ho ya ghalti se. (Fathul Bari j 1 s 182 tahtul hadith 107)