Hasrat bhare dilon se hum aaye hain laut kar, hai chaak chaak hijr mein ye seena-o-jigar
Achha lage ga ab hamain kaise watan mein ghar, afsos chhor aaye Muhammad ka paak dar
Ham ko to is liye hai Madina azeez-tar, is mein janab-e-Rahmat-e-Alam hain jalwa-gar
Aisa sukoon ja ke main dhundun ga ab kidhar!, jaisa sukoon tha mujhe roze ko dekh kar
Woh sabz gunbad aur woh minar chhut gaye, Sarkar ka Madina hum aaye hain chhor kar
Meetha Madina haye! nigahon se chhap gaya, ae aankh! khoon role tu rona hai jis qadar
Dil khoon ugal raha tha mera hijr-e-Shah mein, jab chal para tha shehar-e-Madina ko chhor kar
Ashkon ki lag gayi thi jhari meri aankh se, chhota tha jab Madina main roya tha phoot kar
Kooche mein Shah-e-Kon-o-Makaan ke sukoon tha, aata tha lutf gunbad-e-Khazra ko dekh kar
Behtar hai maut furqat-e-Taiba se bil-yaqeen, marjata kash! Aaqa madine ki khaak par
Rota rahun tarapta rahun chain hi na aaye, gham apna aisa do mujhe ae Shah-e-Bahr-o-Bar
Soz-o-gudaaz is ki fazaon mein chaar su, pur-kaif-o-pur-sukoon hai Sarkar ka nagar
Mujh ko Baqi-e-Pak mein do gaz zameen do, Hasnain ke tufail, Madine ke Tajwar
Dunya ke ranj mit ke gham apna de use, badkar par ho ae mere Mustafa nazar
Attar kar raha hai ye ro ro ke iltija, phir bulaye ga madine mein jald-tar