Ho gaya fazl-e-Khuda Mu-e-Mubarak aa gaye
Dil khushi se jhoom utha Mu-e-Mubarak aa gaye
Ay khusha sall-e-'ala Mu-e-Mubarak aa gaye
Marhaba sad marhaba Mu-e-Mubarak aa gaye
Mustafa ke Mu-e-aqdas aur mera qismat gada
Marhaba sad marhaba Mu-e-Mubarak aa gaye
Ham ghareebon ke muqaddar ko jagane ke liye
Marhaba sad marhaba Mu-e-Mubarak aa gaye
Mujh zaleel-o-khwar par badkar-o-bad kirdar par
Hai karam sarkar ka Mu-e-Mubarak aa gaye
Noor ki barsaat hogi anqareeb ab zor dar
Abr-e-rehmat chha gaya Mu-e-Mubarak aa gaye
Ranj-o-gham kafoor honge ghamzadon ke is ki hai
Deed mein gham ki dawa Mu-e-Mubarak aa gaye
Jo karay ta'zeem dil se do jahan mein kamyab
Ho gaya han ho gaya Mu-e-Mubarak aa gaye
Apne Rabb se maang lo dono jahan ki na'matein
Rehmaton ka dar khula Mu-e-Mubarak aa gaye
In sha Allah aarzoo'ein ayengi bar-e-roo-ba-roo
Maang lo aa kar du'a Mu-e-Mubarak aa gaye
Aao deewano! tum aao liye chashm-e-ashkbar
Un se un ko maangna Mu-e-Mubarak aa gaye
Naz'a rooh-o-qabr mein aur hashr ke maidan mein kaam
Ban gaya Attar ka Mu-e-Mubarak aa gaye