Ho gaya hajiyon ka shuru ab shumar, izn mujh ko bhi de dosha-e-zi-waqar
Teri nazar-e-karam ka hun umeed-war, go mere jurm Sarkar hain beshumar
Phir madine ki janib chale qafle, ho gaye aashiqan-e-Nabi be-qarar
Az paye Ghaus-e-Azam nigah-e-karam, phir dikha do madine ke lail-o-nahar
Mere meethe madine ki kya baat hai, hai faza mehki mehki hawa khushgawar
Jis qadar bhi hain Islami bhai behn, sab ko bulvao mehboob-e-Parwardigar
Arsh par farsh par khuld par khalq par, izn-e-Rabb se hai naafiz tera iqtedar
Kijiye door dunya ke ranj-o-alam, aap par mere halaat hain aashkar
Mere nazdeek aaye na pat-jhar kabhi, Tajdar-e-Madina do aisi bahar
Phans gayi nao isyan ke toofan mein, ab laga do mere nakhuda jald paar
Mere daaman-e-tar ki Shafee-ul-Wara, laaj rakhna Khudara baroz-e-shumar
Sunnaton ka main charcha karun raat din, ho ata aisa jazba paye chaar yaar
Ae madine ke zair dar-e-pak par, arz karna mera bhi salam-e-ashkbar
Peer-o-murshid ke sadqe ho aisi ata, aaye Attar darbar mein baar baar