Ho Madine ka ticket mujh ko ata Data Piya, aap ko Khwaja Piya wasta Data Piya
Mujh ko Ramzan-e-Madina ki ziyarat ho naseeb, kharch ho rah-e-Madina ka ata Data Piya
Do na do marzi tumhari tum Madine ka ticket, mein pukare jaunga Data Piya Data Piya
Daulat-e-duniya ka sail ban ke mein aaya nahi, mujh ko deewana Madine ka bana Data Piya
Kash mein roya karoon ishq-e-Rasool-e-Pak mein, soz do aisa mujhe Ahmed Raza Data Piya
Gham mujhe meethe Madine ka ata kar do shaha, mera seena bhi Madina do bana Data Piya
Baithe baithe Mustafa ki bargah-e-pak mein, kijiye meri sifarish aap ya Data Piya
Go zaleel-o-khwar hoon papi hoon mein badkar hoon, aap ka hoon aap ka hoon aap ka Data Piya
Arzoo hai maut aaye Gumbad-e-Khizra tale, haath utha kar kijiye haq se dua Data Piya
Mein hoon isyan ka mareez aur tum tabeeb-e-asiyan, ho ata mujh ko gunahon ki dawa Data Piya
Aap ki chashm-e-karam ho jaye gar bad-haal par, door ho gham ki abhi kali ghata Data Piya
Kya gharz dar dar phiroon mein bheek lene ke liye, hai salamat aastana aap ka Data Piya
Jholiyan bhar bhar ke le jate hain mangte raat din, ho meri umeed ka gulshan hara Data Piya
Mujh ko dataran-e-jahan se kya gharz, mein to hoon mangta tere darbar ka Data Piya
Ujday ghar abad hoon aur gham ke mare shad hoon, ho tere har ek mangte ka bhala Data Piya
Dum daba kar bhag jaye sher bhi gar dekh le, aap ke darbar ka kutta shaha Data Piya
Kash! phir Lahore mein neki ki dawat aam ho, faiz ka dariya baha do surora Data Piya
Masjidain abad hoon aur sunnatein bhi aam hoon, faiz ka dariya baha do surora Data Piya
Sare mangte apne chehre par sajayein daariyan, faiz ka dariya baha do surora Data Piya
Takht-e-shahi ki nahi hai arzoo Attar ko, is ko bas kutta bana lo apna ya Data Piya