Ik baar phir karam Shah-e-Khair-ul-Anam ho phir janib-e-Madina rawana ghulam ho
Phir jhoomta hua main chaloon janib-e-Hijaz Makkay mein subah ho to Madinay mein shaam ho
Pesh-e-nazar ho gumbad-e-khazra ki phir bahar ae kaash! phir Madinay mein mera qayam ho
Ho aana jana mera Madinay mein umr bhar aakhir mein zindagi ka wahin ikhtitam ho
Yun mujh ko maut aaye tumharay dayar mein chaukhat pe sar ho lab pe durood-o-salam ho
Ya Rab bacha lay to mujhe naar-e-jaheem se aulad par bhi balkay jahannam haram ho
Deewanay ro rahay hain Madinay ke wastay un ki bhi hazri ka koi intezam ho
Dil ki murad pa gaya jo dar pe aa gaya koi sabab nahin ke na mangtay ka kaam ho
Dushman ka zor barh chala hai Ya Ali madad! ab Zulfiqar-e-Haidari phir be-niyam ho
Bekar guftagu se meri jaan chhoot jaye har waqt kaash! lab pe durood-o-salam ho
Ho jaein khatam kaash! gunahon ki aadatein aisa karam ae Syed-e-Khair-ul-Anam ho
Ahmed Raza ka sadqa musalman naik hon naiki ki dawat-e-Aaqa jahan bhar mein aam ho
Aaqa! gham-e-Madina mein rona naseeb ho zikr-e-Madina lab pe meray subah-o-shaam ho
Ho rooh teray qadmon pe Attar ki nisar jis waqt is ki umr ka labrez jaam ho