Ishq-e-Maula mein hoon khoon-baar-e-daaman
Ya Khuda jald aaye bahaar-e-daaman
Beh chali aankh bhi ashkon ki tarah daaman par
Ke nahin taar-e-nazar juz bah taar-e-daaman
Ashk barsaaun chale koocha-e-jaanan se naseem
Ya Khuda jald niklein bukhaar-e-daaman
Dil-e-shudoon ka yeh hua daaman-e-athar pe hujoom
Bedil aabad hua naam-e-dayaar-e-daaman
Mushk sa zulf-e-shah-o-noor fashaan roo-e-huzoor
Allah Allah halab jaib-o-taar-e-daaman
Tujh se ae gul mein sitam deedah dasht-e-harmaan
Khalish-e-dil ki kahoon ya ghumaar-e-daaman
Aks-e-afgan hai hilal-e-lab-e-shah jaib nahin
Mehar-e-aariz ki shuaa'ein hain na taar-e-daaman
Ashk kehte hain yeh sheedayee ki aankhein dho kar
Ae adab gard-e-nazar ho na gubaar-e-daaman
Ae Raza aah woh bulbul ke nazar mein jis ki
Jalwa jaib aaye na bahaar-e-daaman