Jaayegi hansti hui khuld mein ummat un ki
Kab gawara hui Allah ko riqqat un ki
Abhi phat-te hain jigar hum se gunahgaron ke
Tute dil ka jo sahara na ho rahmat un ki
Dekh aankhen na dikha mehr-e-qayamat hum ko
Jin ke saya mein hain hum dekhi hai surat un ki
Husn-e-Yusuf dam-e-Isa pe nahin kuch mauqoof
Jis ne jo paaya hai paaya hai badaulat un ki
Un ka kehna na karen jab bhi woh chahen hum ko
Sarkashi apni to yeh aur woh chahat un ki
Paar ho jayega ik aan mein beda apna
Kaam kar jayegi mehshar mein shafa'at un ki
Hashr mein hum se gunahgar pareshan khatir
Afw-e-Rahman-o-Raheem aur shafa'at un ki
Khak-e-dar teri jo chehron pe mile phirte hain
Kis tarah bhaye na Allah ko surat un ki
Aasiyo kyun gham-e-mehshar mein mare jate ho
Sunte hain banda-nawazi to hai aadat un ki
Jalwa-e-shaan-e-Ilahi ki baharein dekho
Qad ra'al-haq ki hai sharh-e-ziarat un ki
Bagh-e-jannat mein chale jayenge be-pooche hum
Waqf hai hum se masakeen pe daulat un ki
Yad karte hain adu ko bhi dua hi se woh
Sari duniya se nirali hai yeh aadat un ki
Hum hon aur un ki gali khuld mein waiz hi rahen
Ae Hassan un ko mubarak rahe jannat un ki