Janib-e-maghrib woh chamka aaftab
Bheek ka mashriq se nikla aaftab
Jalwah farma ho jo mera aaftab
Zarra zarra se ho paida aaftab
Aariz-e-purnoor ka saaf aaina
Jalwah-e-haq ka chamakta aaftab
Yeh tajalli gaah-e-zaat-e-bakht hai
Zulf-e-anwar hai shab-e-aasa aaftab
Dekhne walon ke dil thande kiye
Aariz-e-anwar hai thanda aaftab
Hai shab-e-daijoor Taiba noor se
Ham siyah karon ka kala aaftab
Bakht chamka de agar shaan-e-jamal
Ho meri aankhon ka tara aaftab
Noor ke sanche mein dhala hai tujhe
Kyun tere jalwon ka dhalta aaftab
Nakhudaai se nikala aap ne
Chashma-e-maghrib se dooba aaftab
Zarra ki tabish hai un ki raah mein
Ya hua hai gir ke thanda aaftab
Garmiyon par hai woh husn-e-be-zawal
Dhoondta phirta hai saya aaftab
Un ke dar ke zarra se kehta hai mehr
Hai tumhare dar ka zarra aaftab
Shaam-e-Taiba ki tajalli dekh kar
Ho teri tabish ka tadka aaftab
Khutba hua zameen par sikka pada falak par
Paya jahan ne aaqa subah shab-e-wiladat
Aayi nayi hukumat sikka naya chale ga
Aalam ne rang badla subah shab-e-wiladat
Rooh-ul-Ameen ne gaada Kaaba ki chhat pe jhanda
Ta-arsh uda phir-eha subah shab-e-wiladat
Donon jahan ki shahi na-kat-khuda dulhan thi
Paya dulhan ne dulha subah shab-e-wiladat
Padhte hain arsh wale sunte hain farsh wale
Sultan-e-nau ka khutba subah shab-e-wiladat
Chandi hai muflison ki bandi hai khush-naseebi
Aaya karam ka data subah shab-e-wiladat
Aalam ke daftaron mein tarmeem ho rahi hai
Badla hai rang dunya subah shab-e-wiladat
Zulmat ke sab register harf-e-ghalat hue hain
Kaata gaya siyaha subah shab-e-wiladat
Mulk-e-azal ka sarwar sab sarwar-on ka afsar
Takht-e-abad pe baitha subah shab-e-wiladat
Sookha pada hai Sawa darya hua sawawa
Hai khushk-o-tar pe qabza subah shab-e-wiladat
Nawabiyan sudharin jaari hain shahi aayin
Kacha hua ilaqa subah shab-e-wiladat
Din phir gaye hamare sote naseeb jaage
Khursheed hi woh chamka subah shab-e-wiladat
Qurban aye doshanba tujh par hazaar jumme
Woh fazl tu ne paaya subah shab-e-wiladat
Pyare Rabi-ul-Awwal teri jhalak ke sadqe
Chamka diya naseeba subah shab-e-wiladat
Woh meher farma woh mah-e-aalam aara
Taron ki chhaon aaya subah shab-e-wiladat