Jis ko chaha meethey Madeenay ka us ko mehman kiya
Jis par nazar-e-karam farmai us par yeh ehsan kiya
Talib-e-dunya ne to talab-e-London hai kiya Japan kiya
Deewanon ne Haq se talab-e-Taiba ka registan kiya
Jin ka sitara chamka un ko Taiba ka paigham mila
Bakhtawaron ne dar par aa kar bakhshish ka saman kiya
Shukr ada ho kyonkar tera pyaray Nabi ki ummat mein
Mujh se nikammay ko bhi paida tu ne aye Rehman kiya
Shah-e-Madeena deen ki daulat apni ulfat bhi di aur
Apni ghulami mujh ko ata ki tu ne bada ehsan kiya
Dor-e-jahalat tha har su jab kufr ki zulmat chhayi thi
Tum ne haiwanon jaisay logon ko bhi insaan kiya
Haq ki rah mein patthar khaye khoon mein nahaye Taif mein
Deen ka kitni mehnat se kaam aap ne aye Sultan kiya
Jaan ke dushman khoon ke pyason ko bhi shahr-e-Makkah mein
Aam maafi tum ne ata ki kitna bada ehsan kiya
Rona museebat ka mat ro to pyaray Nabi ke deewanay
Karb-o-bala walay shahzadon par bhi tu ne dhyan kiya
Pyaray muballigh! mamooli si mushkil par ghabrata hai
Dekh Hussain ne deen ki khatir sara ghar qurban kiya
Woh dunya ki rangeeni mein khoya raha barbad hua
Jis ne ishq-e-Nabi se dil ko khaali aur weeran kiya
Shah ko yeh mairaj ki shab kitna ooncha aizaz mila
Aap ne to chashman-e-sar se deedar-e-Rehman kiya
Aah! muqaddar arsa hua Attar Madeenay ja na saka
Haye! isay halat ne jakra yun khoon-e-arman kiya