Kab gunahon se kinara main karoon ga ya Rab!
Nek kab mere Allah! banoon ga ya Rab!
Kab gunahon ke marz se main shifa paoon ga
Kab main bimar-e-Madine ka banoon ga ya Rab!
Gar tere pyare ka jalwa na raha pesh-e-nazar
Sakhtiyan naz'a ki kiyon kar main sahoon ga ya Rab!
Naz'a ke waqt mujhe jalwa-e-mehboob dikha
Tera kya jaye ga main shaad maroon ga ya Rab!
Qabr mein gar na Muhammad ke nazare honge
Hashr tak kaise main tanha rahoon ga ya Rab!
Dank machchar ka saha jata nahin, kaise main phir
Qabr mein bichhoo ke dank ah sahoon ga ya Rab!
Ghap andhere ka bhi wehshat ka basera hoga
Qabr mein kaise akela main rahoon ga ya Rab!
Gar kafan phaad ke saanpon ne jamaya qabza
Haye barbadi! kahan jake chhupoon ga ya Rab!
Haye! mamooli si garmi bhi sahi jati nahin
Garmi-e-hashr mein phir kaise sahoon ga ya Rab!
Aaj banta hoon muazzaz jo khule hashr mein aib
Aah! ruswai ki aafat mein phansoon ga ya Rab!
Pul-e-sirat aah! hai talwar ki bhi dhaar se tez
Kis tarah se main isay paar karoon ga ya Rab!
Qabr mehboob ke jalwon se basa de Maalik
Yeh karam kar de to main shaad rahoon ga ya Rab!
Gar tu naraz hua meri halakat hogi
Haye! main naar-e-jahannam mein jaloon ga ya Rab!
Dard-e-sar ho ya bukhar aaye tarap jata hoon
Main jahannam ki saza kaise sahoon ga ya Rab!
Afu kar aur sada ke liye raazi ho ja
Gar karam kar de to jannat mein rahoon ga ya Rab!
Tu hai Mu'ti woh hain Qasim yeh karam hai tera
Tere mehboob ke tukron pe paloon ga ya Rab!