Kar lo maqbool Ya Rasool-Allah
Yeh meri iltija Rasool-Allah
Baani-e-Majlis-e-Mubarak ko
Deejay behtar sila Rasool-Allah
Jitnay Sunni shareek-e-majlis hain
Sab pe kar do ata Rasool-Allah
Aap ke aastan ke banday hain
Bakhsh do har khata Rasool-Allah
Har museebat mein keejiye imdaad
Jab pukarein ke Ya Rasool-Allah
Us ki foran muraad bar aayi
Jis ne dil se kaha Rasool-Allah