Kash! dasht-e-Tayyaba mein, mein bhatak ke mar jata
Phir Baqi-e-Gharqad mein dafn koi kar jata
Kash! jaanib-e-Tayyaba aah! yun agar jata
Chaak chaak mein le kar seena-o-jigar jata
Kash! gunbad-e-Khizra par nigah padte hi
Kha ke ghash mein gir jata phir tadap ke mar jata
Zahideen-e-dunya bhi rashk karte aasi par
Mustafa ke qadmon mein dafn ho agar jata
Ya Nabi rehmat yeh mere dil ki hasrat hai
Khaak ban ke Tayyaba ki kash! mein bikhar jata
Kash! aisa mil jata ishq naam sunte hi
Ankh bhi umand aati dil bhi gham se bhar jata
Dil se ulfat-e-dunya bil-yaqeen nikal jaati
Khaar-e-un ke sehra ka dil mein gir utar jata
Jazba-e-Ghazali do walwala Balali do
Kash murshadi jaisa mil tapaan jigar jata
Za'ir-e-Madeena tu chal raha hai hans hans kar
Kash! le ke muztar qalb aur chashm-e-tar jata
Be-dharak Madeene mein dakhila hua tera
Kash! paon ke badle sar ke bal agar jata
Rotay rotay mar jata waqt-e-rukhsat-e-Tayyaba
Kash! mein Madeene se laut kar na ghar jata
Kash! furqat-e-Tayyaba se mein rehta ranjeeda
Har khushi ka lamha bhi rotay hi guzar jata
Kaam mera ban jata jo teri nazar hoti
Mera dooba beda ya Nabi ubhar jata
Laazmi hai har surat chodna gunahon ka
Bhai maut se pehle kash! tu sudhar jata
Ghair ke tu fashion ko chod de mere bhai
Un ki sunnatein apna kyon hai dar-badar jata
Be-adad ghulam-e-Aaqa Khuld ja rahe hain kash!
Mein bhi saath un ke ya Shah-e-Bahr-o-Bar jata
Ya Khuda! muballigh mein sunnaton ka hota kash!
Tere deen ki khidmat kuch jahan mein kar jata
Un ka aa gaya Attar un ka aa gaya Attar
Shor tha yeh har janib hashr mein jidhar jata