Kaun kehta hai aankhein chura kar chale
Kab kisi se nigahein bacha kar chale
Kaun un se nigahein lada kar chale
Kis ki taqat jo aankhein mila kar chale
Woh haseen kya jo fitne utha kar chale
Haan haseen tum ho fitne mita kar chale
Un ke kooche mein mangta sada kar chale
Rahmat-e-Haq ho har dam dua kar chale
Qissa-e-gham sunaya kar chale
Jaan-e-Isa dawa do dua kar chale
Rab ke bandon ko Rab se mila kar chale
Jalwa-e-Haq woh hum ko dikha kar chale
Man Ra'ani Ra-al-Haq suna kar chale
Mera jalwa hai Haq ka jata kar chale
Juz bashar aur kya dekhein kheera nazar
Ayyukum mithli go woh suna kar chale
Jagmaga dalein galiyan jidhar aaye woh
Jab chale woh to kooche basa kar chale
Kaisa tareek duniya ko chamka diya
Saare aalam mein kaisi ziya kar chale
Koi maane na maane yeh woh jaan le
Seedha rasta woh sab ko bata kar chale
Kodiyon kodhiyon ke liye kodh door
Achha changa woh khasa bhala kar chale
Yaad daaman se murjhayi kaliyan khilin
Faiz se apne ghunche khila kar chale
Shab ko shabnam ki manind roya kiye
Surat-e-gul woh hum ko hansa kar chale
Bad se bad ko liya jis ne aaghosh mein
Kab kisi se woh daaman bacha kar chale
Jo kamine the un ko mu'azzaz kiya
Woh razeelon ko seene laga kar chale
Sab ko Islam ka tum ne bakhsha sharaf
Girte parton ko pyare utha kar chale
Ein o aan aur chunein o chunan sarwara
Tere dar se sab apna bhala kar chale
Jis ka sani hua aur na hai aur na ho
Woh ata kar chale woh sakha kar chale
Umr bhar a'ada un ko sataya kiye
Aur woh dushmanon ko dua kar chale
Sakht a'ada ko bhi 'afw farma diya
Rahmat-e-haq ki shanein dikha kar chale
Jism-e-purnoor ka yun to saya na tha
Aur patthar mein naqshe jama kar chale
Marte dam sar dar-e-pak par rakh diya
Is ada se qaza hum ada kar chale
Jab qamar ik ishare se tukde kiya
Bole kafir woh jadu sa kiya kar chale
Mo'jizon ko woh jadu batate rahe
Aap apne pe zalim jafa kar chale
Jin ke da'we the hum hi hain ahl-e-zaban
Sun ke quran zabanen daba kar chale
Gaye sahabi the par thi yeh haibat-e-haq
Gardanein sare kafir jhuka kar chale
Aur gardan kushi ki to mare gaye
Sab ne jana ke zalim khata kar chale
Jin ko apna nahin gham hamare liye
Daure jhapte woh paon utha kar chale
Abhi mizan par the abhi pul pe hain
Pul mein girte bachaye bacha kar chale
Sar-e-kausar suna shor piyason ka jab
Pahunche sharbat pilaya pila kar chale
Kisi janib se aayen nidayen huzoor
Mujrimon ki rahai ka kya kar chale
Dam mein pahunche woh hukm-e-rahai diya
Un ko dozakh se phera phira kar chale
Daagh-e-dil hum ne Noori dikha hi diya
Dard-e-dil ka fasana suna kar chale