Khawand-e-jahan jab khud hai pyara teri surat ka
To aalam kyun na ho banda teray husn-o-malahat ka
Sharaf hasil hua Sarkar tum se jis ko bai'at ka
Ussay muzda mila Haq se dukhool-e-qasr-e-jannat ka
Jo khaali haath aatay hain muradein le ke jatay hain
Tumharay dar pe ek mela laga hai ahl-e-hajat ka
Jo haath utha hua hai saari khilqat ka teri janib
Batata hai ke tu Qasim hai Rabb ki jumla naimat ka
Zameen se arsh tak goonjay do aalam par gayi halchal
Baja Kaaba mein naqara jo Sultan-e-Risalat ka
Kahein sehra mein mauj aayi kahein darya mein gard uthi
Kahein but hogaye oundhay ajab aalam tha shaukat ka
Buton ko poojnay walay banay dam mein Khuda walay
Zaban-e-paak se jis dam suna da'wa-e-nabuwwat ka