Khuda ke fazl se main hoon gada Farooq-e-Azam ka
Khuda un ka Muhammad Mustafa Farooq-e-Azam ka
Karam Allah ka har dam Nabi ki mujh pe rahmat hai
Mujhe hai do jahan mein asra Farooq-e-Azam ka
Pas-e-Siddiq-e-Akbar Mustafa ke sab sahaba mein
Hai be-shak sab se ooncha martaba Farooq-e-Azam ka
Gali se un ki Shaitan dum daba kar bhaag jata hai
Hai aisa rub aisa dabdaba Farooq-e-Azam ka
Sahaba aur Ahl-e-Bait ki dil mein mohabbat hai
Ba-faizan-e-Raza main hoon gada Farooq-e-Azam ka
Rahe teri ata Ya Khuda! Teri inayat se
Hamare hath mein daaman sada Farooq-e-Azam ka
Bhatak sakta nahi hargiz kabhi woh seedhay rastay say
Karam jis bakht-war par ho gaya Farooq-e-Azam ka
Khuda ki khaas rehmat say Muhammad ki inayat say
Jahannam mein na jaye ga gada Farooq-e-Azam ka
Sada aansoo bahaye jo gham-e-ishq-e-Muhammad mein
De aisi aankh ya Rab! wasta Farooq-e-Azam ka
Mujhay hajj-o-ziyarat ki sa'adat ab inayat ho
Waseela pesh karta hoon Khuda Farooq-e-Azam ka
Ilahi! ek muddat say meri aankhein tarasti hain
Dikha day sabz gumbad wasta Farooq-e-Azam ka
Shahadat aye Khuda! Attar ko day day Madeenay mein
Karam farma Ilahi! wasta Farooq-e-Azam ka