Khusha jhoomta ja raha hai safina, pohanch jayenge insha Allah Madina
Ab aaya ke ab aaya Jeddah ka sahil, ab aayega Makka chalenge Madina
Main Makke mein ja kar karoon ga tawaf aur, naseeb aab-e-zam zam mujhe hoga peena
Khudaya Madina aaye joon hi, tadap kar karoon de de aisa qareena
Na kyon meri qismat pe rashk aaye mujh ko, kahan woh Madina kahan main kameena
Rahe wird-e-lab kaash! har dam Ilahi, Madina! Madina! Madina! Madina
Nazar noor ki noor-e-Rabb-ul-Ala ho, mere dil ka chamka do mela nageena
Karam kijiye Aaqa dabayein na mujh ko, kabhi nafs-o-shaitan ae Shah-e-Madina
Bacha lijiye mujh ko fashion se Aaqa, ata kijiye sunnaton ka khazeena
Pila do mujhe saqiya! jaam aisa, rahoon mast-o-be-khud main Shah-e-Madina
Tere ishq mein kaash! rota rahoon main, rahe teri ulfat se mamoor seena
Tu likh de Ilahi! muqaddar mein mere, Madine mein marna Madine mein jeena
Yeh tasleem, umda hai khushboo-e-jannat, mujhe kaash mil jaye unka paseena
Mareez-e-mohabbat ka dam hai labon par, sarhane ab aa jao Shah-e-Madina
Baqi mubarak mein do gaz zameen do, khudara karam Tajdar-e-Madina
Nahin rote ushaq dunya ki khatir, rulati hai unko to yaad-e-Madina
Nigahon mein har dam Madina basa ho, mujhe kaash mil jaye woh chashm-e-beena
Tadapte hain deewane tere jahan mein, jab aata hai Hajj ka mahina
Taraste hain jo deed-e-Taiba ki khatir, dikha dijiye na unhein bhi Madina
Pila do hamain jaam-e-deedar-e-Saqi! karam tishna-kaamon pe Shah-e-Madina
Bi-izn-e-Ilahi teri sab khudai, hai maikhana tera jara jaam-o-meena
Tumhein ae muballigh! hamari dua hai, kiye jao tay tum taraqqi ka zeena
Tadap uthe Aaqa ke deewane Attar, Madine ki janib chala jab safina