Home/Allama Hasan Raza Khan/Khushboo-e-Dasht-e-Taiba se bas jaye gard-e-dimagh

Khushboo-e-Dasht-e-Taiba se bas jaye gard-e-dimagh

Written by Allama Hasan Raza Khan

100%
Khushboo-e-dasht-e-Taiba se bas jaye gard-e-dimagh Mehkaye bu-e-khuld mira sar basar dimagh Paya hai paye sahib-e-meraj se sharaf Zarriyat-e-go-e-Taiba ka hai arsh par dimagh Momin fidaye noor-o-shamim-e-hazoor mein Har dil chamak raha hai muattar hai har dimagh Aisa basay ke bu-e-gul-e-khuld se basay Ho yaad-e-naqsh-e-paye Nabi ka jo ghar dimagh Aabad kar Khuda ke liye apne noor se Veeran-e-dil hai dil se zyada khandhar dimagh Har khar-e-Taiba zeenat-e-gulshan hai andaleeb Nadan ek phool par itna na kar dimagh Zahid hai mustahiq-e-karamat gunahgar Allah-u-Akbar mizaj is qadar dimagh