Kis ke jalwa ki jhalak hai yeh ujala kya hai
Har taraf deedah-e-hairat zada takta kya hai
Maang man maanti munh maangi muradein le ga
Na yahan 'na' hai na mangta se yeh kehna 'kya hai'
Pand kadwi lage naasih se tursh ho ae nafs
Zehar-e-isyaan mein sitam-gar tujhe meetha kya hai
Ham hain un ke woh hain tere toh huye hum tere
Is se badh kar teri simt aur waseela kya hai
Un ki ummat mein banaya rehmat bheja
Yun na farma ke tera reham mein daawa kya hai
Sadqa pyare ki haya ka ke na le mujh se hisab
Bakhsh be-pooche lajaye ko lajana kya hai
Zahid un ka main gunah-gar woh mere shafi'
Itni nisbat mujhe kam hai toh samjha kya hai
Be-basi ho jo mujhe pursish-e-aamal ke waqt
Dosto! kya kahoon us waqt tamanna kya hai
Kaash faryaad meri sun ke yeh farmayein huzoor
Haan koi dekho yeh kya shor hai ghogha kya hai
Kaun aafat zada hai kis pe bala tooti hai
Kis museebat mein giraftar hai sadma kya hai
Kis se kehta hai ke lillah khabar leeje meri
Kyun hai betab yeh bechaini ka rona kya hai
Us ki bechaini se hai khatir-e-aqdas pe malaal
Be-kasi kaisi hai poocho koi guzra kya hai
Yun malaik karein ma'rooz ke ek mujrim hai
Us se purish hai bata tu ne kya kya kiya hai
Samna qahr ka hai daftar-e-aamal hain pesh
Dar raha hai ke khuda hukm sunata kya hai
Aap se karta hai faryaad ke ya shah-e-rusul
Banda-e-be-kas hai shaha raham mein waqfa kya hai
Ab koi dam mein giraftar-e-bala hota hoon
Aap aa jayein to kya khauf hai khatka kya hai
Sun ke yeh arz meri bahr-e-karam mein aaye
Yun malaik ko ho irshad 'theharna kya hai'
Kis ko tum moorid-e-aafaat kiya chahte ho!
Ham bhi to aa ke zara dekhein tamasha kya hai
Un ki aawaz pe kar uthoon mein besakhta shor
Aur tadap kar yeh kahoon ab mujhe parwah kya hai
Lo woh aaya mera haami mera gham khwar-e-umam!
Aagayi jaan tan-e-be-jaan mein yeh aana kya hai
Phir mujhe daman-e-aqdas mein chhupa lein sarwar
Aur farmayein hato is pe taqaza kya hai
Banda-e-azaad shuda hai yeh hamare dar ka
Kaisa lete ho hisab is pe tumhara kya hai
Chhod kar mujh ko farishte kahein mahkoom hain hum
Hukm wala na ta'meel ho zahra kya hai
Yeh sama dekh ke mahshar mein uthay shor ke wah
Chashm-e-bad door ho kya shan hai rutba kya hai
Sadqay us raham ke us saya-e-daman pe nisar
Apne bande ko museebat se bachaya kya hai
Ae Raza jaan-e-anadil tere naghmon ke nisar
Bulbul-e-bagh-e-madina tera kehna kya hai