Koi kya janay jo tum ho Khuda hi janay kya tum ho
Khuda to keh nahi saktay magar shaan-e-Khuda tum ho
Nabiyon mein ho tum aisay Nabi-ul-Anbiya tum ho
Haseenon mein tum aisay ho ke Mehboob-e-Khuda tum ho
Tumhara husn aisa hai ke Mehboob-e-Khuda tum ho
Mah-e-kamil karay kasb-e-ziya woh mah-e-liqa tum ho
Ulu-e-martabat pyaray tumhara sab pe roshan hai
Makeen-e-lamakán tum ho shah-e-arsh-e-ala tum ho
Tumhari hamd farmai Khuda ne apnay Quran mein
Muhammad aur mumajjad Mustafa-o-Mujtaba tum ho
Jo sab se pichla ho phir us ka pichla ho nahi sakta
Ke woh pichla nahi agla hua us se wara tum ho
Tumhin se fath farmai tumhin par khatm farmai
Rusul ki ibtida tum ho Nabi ki intiha tum ho
Khuda ne zaat ka apni tumhein mazhar banaya hai
Jo haq ko dekhna chahein to us ke aaina tum ho
Tumhein batin tumhein zahir tumhein awwal tumhein akhir
Nahan bhi ho ayan bhi mubtada-o-muntaha tum ho
Munawwar kar diya hai aap ke jalwon ne aalam ko
Mah-o-khursheed ko bakhshi ziya noor-e-Khuda tum ho
Mitadi kufr ki zulmat tumharay rooy-e-roshan ne
Sawera shirk ka tum ne kiya shams-ul-zuha tum ho
Jahan tareek tha sara andhera hi andhera tha
Tum aaye zulmaten tum se mitin Badr-ul-Duja tum ho
Maramna kya ke main midhat-o-sataish mein zaban kholon
Meray Aaqa aisay ho ke mamdooh-e-Khuda tum ho
Saman-e-Bakhshish ke nuskhon mein yeh misra yun hai: "Meray Aaqa aisay ho ke mamdooh-e-Khuda tum ho", fan-e-arooz ke aitbar se yeh ghair mauzoon hai jis ki wajah yaqeenan kitabat ki ghalti hai. Sahih misra yun ho sakta hai: "Meray Aaqa aisay ho ke mamdooh-e-Khuda tum ho" lehaza hum ne isi tarah likha hai. Al-Madina-tul-Ilmiya
Rafa'na se tumhari rif'at-e-bala hui zahir
Ke mehbooban-e-rab mein sab se aali martaba tum ho
Ulu rutba sarkar-e-aali sab pe roshan hai
Makeen-e-la-makaan tum ho sheh-e-arsh-e-ula tum ho
Shab-e-meraj se ae sayyid-e-kul ho gaya zahir
Rusul hain muqtada saare imam-ul-ambiya tum ho
Na hote tum na hote woh ke asal-e-jumla tum hi ho
Khabar the woh tumhari mere maula mubtada tum ho
Tumhare chahne wale ko kuch aisi mohabbat hai
Udhar hojaye woh maula jidhar sadr-ul-wara tum ho
Tumhare chahne wale use mehboob hain saare
Kuch is andaaz ke pyare habib-e-kibriya tum ho
Tumhare baad paida ho nabi koi nahi mumkin
Nabuwat khatm hai tum par ke khatm-ul-ambiya tum ho
Yeh kya main ne kiya kyun dhoond dala arsa-e-mahshar
Hamein maloom tha pyare mudda'a tum ho
Magar aisa na kyun hota ke mahshar mein yeh khulta tha
Shafi-e-mujriman pesh-e-khuda tanha shaha tum ho
Giraftar-e-bala hazir hue hain toote dil le kar
Ke har be-kal ki kul toote dilon ka aasra tum ho
Khabar lije khudaya mere maula mujhse be-kas ki
Ke har be-kas ke kas be-bas ke bas roohi fida tum ho
Musallat kar diya tum ko khuda ne apne ghaibon par
Nabi-e-mujtaba tum ho rasool-e-murtaza tum ho
Chamak jaye dil-e-noori tumhare paak jalvon se
Mitado zulmatein dil ki mere noor-ul-huda tum ho