Kya hi zauq-e-shafa'at hai tumhari wah wah
Qarz leti hai parhez gari wah wah
Khama-e-qudrat ka husn-e-dast kari wah wah
Kya hi tasweer apne pyare ki sanwari wah wah
Ashk-e-shab bhar intezar-e-afw-e-ummat mein bahein
Main fida chand aur yun akhtar shumari wah wah
Ungliyan hain faiz par tute hain pyase jhoom kar
Nadiyan Punjab-e-rehmat ki hain jaari wah wah
Noor ki khairat lene daudte hain mehr-o-mah
Uthti hai kis shaan se gard-e-sawari wah wah
Neem jalwe ki na tab aaye qamar saan to sahi
Mehr aur un tallon ki aaina daari wah wah
Nafs ye kya zulm hai jab dekho taza jurm hai
Natwan ke sar par itna bojh bhaari wah wah
Mujrimon ko dhoondti phirti hai rehmat ki nigah
Tale-e-bargashta teri sazgari wah wah
Arz begi hai shafa'at afw ki sarkar mein
Chhat rahi hai mujrimon ki fard saari wah wah
Kya Madina se saba aayi ke phoolon mein hai aaj
Kuch nayi bu bheeni bheeni pyari pyari wah wah
Khud rahe parde mein aur aaina aks-e-khas ka
Bhej kar anjanon se ki rah daari wah wah
Is taraf roza ka noor us samt minbar ki bahar
Beech mein jannat ki pyari pyari kyari wah wah
Sadqe us inam ke qurban us ikram ke
Hoo rahi hai donon aalam mein tumhari wah wah
Para-e-dil bhi na nikla dil se tohfe mein Raza
Un sagon ko itni jaan pyari wah wah