Kya mehakte hain mehakne wale
Bo pe chalte hain bhatakne wale
Jagmaga uthi meri gor ki khaak
Tere qurban chamakne wale
Mah-e-be-dagh ke sadqe jaun
Yun damakte hain damakne wale
Arsh tak phaili hai taab-e-aariz
Kya jhalakte hain jhalakne wale
Gul-e-Taiba ki sana gaate hain
Nakhl-e-Tooba pe chehakne wale
Asiyo! Thaam lo daaman unka
Woh nahi haath jhatakne wale
Abr-e-rehmat ke salami rehna
Phalte hain pauday lehakne wale
Are yeh jalwa gah-e-janan hai
Kuch adab bhi hai phatakne wale
Sunniyo! In se madad maangay jao
Paday bikte rahein bikne wale
Shama-e-yaad-e-rukh-e-janan na bujhay
Khaak ho jayen bhatakne wale
Maut kehti hai ke jalwa hai qareeb
Ek zara so lein bilakne wale
Koi un tez ruon se keh do
Kis ke ho kar rahein thakne wale
Dil sulagta hi bhala hai aye zabt
Bujh bhi jaate hain dehakne wale
Hum bhi kumhlane se ghafil thay kabhi
Kya hansa ghunchay chatakne wale
Nakhl se chhut ke yeh kya haal hua
Ah o pattay khadakne wale
Jab giray munh su-e-maikhana tha
Hosh mein hain yeh behakne wale
Dekh o zakhm-e-dil aapay ko sambhaal
Phoot behte hain tapakne wale
May kahan aur kahan main zahid
Yun bhi toh chakhte hain chakne wale
Kaf-e-darya-e-karam mein hain Raza
Paanch fawaray chhalakne wale